agar hum sarhadon par peD ugate
agar ham sarhadoñ par peḌ ugāte
kyā ham sāyoñ par bhī bāñdh banāte
sūraj ko kaise dhamkāte kyā aag lagāte
puure chāñd kī pāgal koyal
jab jab gaatī
kis ko bahkātī
mere jism kā saaya gar vahāñ pe paḌtā
to jurmāna lagtā
phuul jo khilte kis ko milte
dargāh jaate yā mandir chaḌhāte
phaloñ kā jab baTvārā karte
kyā laḌte marte
bolo bolo us ke hisse kaise karte
paanī ko bāzār banā kar
faujī ko auzār banā kar
har shai ko bevpār banā kar
pushtoñ ne tāroñ ko khīñchā
ham ne bhī nafrat se sīñchā
par agar ham sarhadoñ par peḌ ugāte
agar hum sarhadon par peD ugate
kya hum sayon par bhi bandh banate
suraj ko kaise dhamkate kya aag lagate
pure chand ki pagal koyal
jab jab gati
kis ko bahkati
mere jism ka saya gar wahan pe paDta
to jurmana lagta
phul jo khilte kis ko milte
dargah jate ya mandir chaDhate
phalon ka jab baTwara karte
kya laDte marte
bolo bolo us ke hisse kaise karte
pani ko bazar bana kar
fauji ko auzar bana kar
har shai ko bewpar bana kar
pushton ne taron ko khincha
hum ne bhi nafrat se sincha
par agar hum sarhadon par peD ugate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.