bambai raat samundar
samundar boltā hai
samundar apnī pur-asrār maujoñ kī zabāñ meñ boltā hai
samundar kī sadā.eñ chiir detī haiñ shab-e-tārīk kī chādar
ubal paḌtī haiñ
tasalsul aur tavātur ke davā.ir meñ thiraktī haiñ
suroñ ke daane ik tasbīh ban jaate haiñ ''lai'' ke narm hāthoñ meñ
jo is āvāz ke jaadū ke bas meñ hote jaate haiñ
samundar kā kinārā saleT hai jis par
umaDtī Dūbtī lahreñ bikhar kar chhoḌ jaatī haiñ
samundar chhīn ke iqlīdsī ḳhāke
ajab andāz kī tajrīdī tasvīreñ
mohan-jodāḌo se pahle ke rasm-ul-ḳhat kī tahrīreñ
paḌe haiñ gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikārī
udhar haiñ kuchh juārī
idhar ik happy laḌkī apne happy dost ke pahlū meñ simTī
chilam kā dam lagātī hai
surāġh-e-jannat-ul-maut ke tālib haiñ donoñ ek sādhū se
hashīshī nashshe ke dariyā meñ ġhote khā rahe haiñ
hashīshī nashshe hī kī mauj hai goyā samundar kī sadā bhī
samundar kī siyāhī par vo piilī raushnī ke phuul
jahāzoñ ne bikhere haiñ
añdhere meñ nazar aatā nahīñ jin kā koī mastūl
jahāz ārām karte haiñ
jahāzī shahr ke ishrat-kadoñ meñ ġhota-zan hoñge
hujūm-e-hashr-sāmāñ ke samundar meñ
jahāzī chand qatroñ kī tarah ghul-mil ga.e hoñge
yahāñ to nārsī-sas bhī kahīñ bhī ḳhud-girafta rah nahīñ saktā
samundar chheḌtā hai sāhirāna simfanī jis meñ
navājil devtāoñ ke azal-āsār shañkhoñ kī
navājil deviyoñ ke mor-pañkhoñ kī
sadā aapas meñ dhakkā mārtī muñh-zor maujoñ kī
sadā sāhil kī chaTTānoñ se Takrātī huī pur-shor maujoñ kī
sadā us shahr kī jo nashshe ke aalam meñ jaarī aur saarī hai
sadā us shahr kī jis ke muqaddar meñ hai roz o shab kī bedārī
sadā us shahr kī jis meñ daraḳhtoñ aur parindoñ se ziyāda aadmī hoñge
sadā us shahr kī jis meñ ki insānoñ ke chhatte āsmāñ chhūte hue ma.alūm hote haiñ
ubal paḌtā hai darvāzoñ se galiyoñ aur saḌkoñ ke muhānoñ se
ik ādam-zād chyūñTī-dal
jahāñ har-dam balā-raftār kāroñ aur basoñ kī ham-navā ban kar
mashīneñ ahd-e-hāzir kā qasīda paḌhtī rahtī haiñ
samundar ke kināre kā mashīnī shahr sāzīna hai
jis par ātish o aahan ke naġhme raqs karte haiñ
samundar ke kināre mard o zan kā ik samundar aur bhī hai
samundar kī sadā meñ us samundar kī sadā.eñ Duub jaatī haiñ
be-karānī kī sadā meñ
samundar bolta hai
samundar apni pur-asrar maujon ki zaban mein bolta hai
samundar ki sadaen chir deti hain shab-e-tarik ki chadar
ubal paDti hain
tasalsul aur tawatur ke dawair mein thirakti hain
suron ke dane ek tasbih ban jate hain lai ke narm hathon mein
jo is aawaz ke jadu ke bas mein hote jate hain
samundar ka kinara saleT hai jis par
umaDti Dubti lahren bikhar kar chhoD jati hain
samundar chhin ke iqlidsi KHake
ajab andaz ki tajridi taswiren
mohan-jodaDo se pahle ke rasm-ul-KHat ki tahriren
paDe hain gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikari
udhar hain kuchh juari
idhar ek happy laDki apne happy dost ke pahlu mein simTi
chilam ka dam lagati hai
suragh-e-jannat-ul-maut ke talib hain donon ek sadhu se
hashishi nashshe ke dariya mein ghote kha rahe hain
hashishi nashshe hi ki mauj hai goya samundar ki sada bhi
samundar ki siyahi par wo pili raushni ke phul
jahazon ne bikhere hain
andhere mein nazar aata nahin jin ka koi mastul
jahaz aaram karte hain
jahazi shahr ke ishrat-kadon mein ghota-zan honge
hujum-e-hashr-saman ke samundar mein
jahazi chand qatron ki tarah ghul-mil gae honge
yahan to narsi-sas bhi kahin bhi KHud-girafta rah nahin sakta
samundar chheDta hai sahirana simfani jis mein
nawajil dewtaon ke azal-asar shankhon ki
nawajil dewiyon ke mor-pankhon ki
sada aapas mein dhakka marti munh-zor maujon ki
sada sahil ki chaTTanon se Takraati hui pur-shor maujon ki
sada us shahr ki jo nashshe ke aalam mein jari aur sari hai
sada us shahr ki jis ke muqaddar mein hai roz o shab ki bedari
sada us shahr ki jis mein daraKHton aur parindon se ziyaada aadmi honge
sada us shahr ki jis mein ki insanon ke chhatte aasman chhute hue malum hote hain
ubal paDta hai darwazon se galiyon aur saDkon ke muhanon se
ek aadam-zad chyunTi-dal
jahan har-dam bala-raftar karon aur bason ki ham-nawa ban kar
mashinen ahd-e-hazir ka qasida paDhti rahti hain
samundar ke kinare ka mashini shahr sazina hai
jis par aatish o aahan ke naghme raqs karte hain
samundar ke kinare mard o zan ka ek samundar aur bhi hai
samundar ki sada mein us samundar ki sadaen Dub jati hain
be-karani ki sada mein
- Book : Intekhaab amiiq hanfii (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.