baz-did
raat ke samundar kī tah meñ Dūbtā patthar
jo kabhī mirā dil thā
jab dhamak sī aatī thī saañs Duub jaatī thī
is ke baa'd kyā hogā
apnī aañch meñ Dhal kar ab vo sang-e-tanhā.ī
raushnī ke sāhil par misl-e-gul mahaktā hai
dūriyoñ ke chaTiyal se qurbatoñ kī chhāñv tak
fāsle kaTe kaise
ab to vo kaḌe lamhe yaad bhī nahīñ aate
raat ke samundar ki tah mein Dubta patthar
jo kabhi mera dil tha
jab dhamak si aati thi sans Dub jati thi
is ke ba'd kya hoga
apni aanch mein Dhal kar ab wo sang-e-tanhai
raushni ke sahil par misl-e-gul mahakta hai
duriyon ke chaTiyal se qurbaton ki chhanw tak
fasle kaTe kaise
ab to wo kaDe lamhe yaad bhi nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.