Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aawara

Interesting Fact

Film: Thokar 1953

shahr raat aur maiñ nāshād o nākārā phirūñ

jagmagātī jāgtī saḌkoñ pe āvārā phirūñ

ġhair bastī hai kab tak dar-ba-dar maarā phirūñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

jhilmilāte qumqumoñ raah meñ zanjīr

raat ke hāthoñ meñ din mohnī tasvīr

mere siine par magar rakhī huī shamshīr

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

ye rupahlī chhāñv ye ākāsh par tāroñ jaal

jaise suufī tasavvur jaise āshiq ḳhayāl

aah lekin kaun jaane kaun samjhe haal

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

phir vo TuuTā ik sitāra phir vo chhūTī phul-jaḌī

jaane kis god meñ aa.ī ye motī laḌī

huuk siine meñ uTThī choT dil par paḌī

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

raat hañs hañs kar ye kahtī hai ki mai-ḳhāne meñ chal

phir kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh ke kāshāne meñ chal

ye nahīñ mumkin to phir ai dost vīrāne meñ chal

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

har taraf bikhrī huī rañgīniyāñ ra.anā.iyāñ

har qadam par ishrateñ letī huī añgḌā.iyāñ

baḌh rahī haiñ god phailā.e hue rusvā.iyāñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

rāste meñ ruk ke dam le luuñ mirī aadat nahīñ

lauT kar vāpas chalā jā.ūñ mirī fitrat nahīñ

aur koī ham-navā mil jaa.e ye qismat nahīñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

muntazir hai ek tūfān-e-balā mere liye

ab bhī jaane kitne darvāze haiñ mere liye

par musībat hai mirā ahd-e-vafā mere liye

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

meñ aatā hai ki ab ahd-e-vafā bhī toḌ duuñ

un ko saktā huuñ maiñ ye aasrā bhī toḌ duuñ

haañ munāsib hai ye zanjīr-e-havā bhī toḌ duuñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

ik mahal aaḌ se niklā vo piilā māhtāb

jaise mullā amāma jaise baniye kitāb

jaise muflis javānī jaise beva shabāb

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

dil meñ ik sho.ala bhaḌak uTThā hai āḳhir kyā karūñ

merā paimāna chhalak uTThā hai āḳhir kyā karūñ

zaḳhm siine mahak uTThā hai āḳhir kyā karūñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

meñ aatā hai ye murda chāñd taare noch luuñ

is kināre noch luuñ aur us kināre noch luuñ

ek do zikr kyā saare ke saare noch luuñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

muflisī aur ye mazāhir haiñ nazar ke sāmne

saikḌoñ sultān-e-jābir haiñ nazar ke sāmne

saikḌoñ chañgez o nādir haiñ nazar ke sāmne

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

le ke ik chañgez ke hāthoñ se ḳhanjar toḌ duuñ

taaj par us ke damaktā hai jo patthar toḌ duuñ

koī toḌe na toḌe maiñ baḌh kar toḌ duuñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

baḌh ke us indar sabhā saaz o sāmāñ phūñk duuñ

us gulshan phūñk duuñ us shabistāñ phūñk duuñ

taḳht-e-sultāñ kyā maiñ saarā qasr-e-sultāñ phūñk duuñ

ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ

shahr ki raat aur main nashad o nakara phirun

jagmagati jagti saDkon pe aawara phirun

ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar mara phirun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

jhilmilate qumqumon ki rah mein zanjir si

raat ke hathon mein din ki mohni taswir si

mere sine par magar rakhi hui shamshir si

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

ye rupahli chhanw ye aakash par taron ka jal

jaise sufi ka tasawwur jaise aashiq ka KHayal

aah lekin kaun jaane kaun samjhe ji ka haal

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

phir wo TuTa ek sitara phir wo chhuTi phul-jaDi

jaane kis ki god mein aai ye moti ki laDi

huk si sine mein uTThi choT si dil par paDi

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

raat hans hans kar ye kahti hai ki mai-KHane mein chal

phir kisi shahnaz-e-lala-ruKH ke kashane mein chal

ye nahin mumkin to phir ai dost virane mein chal

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

har taraf bikhri hui ranginiyan ranaiyan

har qadam par ishraten leti hui angDaiyan

baDh rahi hain god phailae hue ruswaiyan

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

raste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin

lauT kar wapas chala jaun meri fitrat nahin

aur koi ham-nawa mil jae ye qismat nahin

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye

ab bhi jaane kitne darwaze hain wa mere liye

par musibat hai mera ahd-e-wafa mere liye

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

ji mein aata hai ki ab ahd-e-wafa bhi toD dun

un ko pa sakta hun main ye aasra bhi toD dun

han munasib hai ye zanjir-e-hawa bhi toD dun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

ek mahal ki aaD se nikla wo pila mahtab

jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab

jaise muflis ki jawani jaise bewa ka shabab

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

dil mein ek shoala bhaDak uTTha hai aaKHir kya karun

mera paimana chhalak uTTha hai aaKHir kya karun

zaKHm sine ka mahak uTTha hai aaKHir kya karun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

ji mein aata hai ye murda chand tare noch lun

is kinare noch lun aur us kinare noch lun

ek do ka zikr kya sare ke sare noch lun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

muflisi aur ye mazahir hain nazar ke samne

saikDon sultan-e-jabir hain nazar ke samne

saikDon changez o nadir hain nazar ke samne

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

le ke ek changez ke hathon se KHanjar toD dun

taj par us ke damakta hai jo patthar toD dun

koi toDe ya na toDe main hi baDh kar toD dun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

baDh ke us indar sabha ka saz o saman phunk dun

us ka gulshan phunk dun us ka shabistan phunk dun

taKHt-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phunk dun

ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Asha Bhosle

Asha Bhosle

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Talat Mahmood

Talat Mahmood

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aawara Nomaan Shauque

Fahad Husain

awara Fahad Husain

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now