Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo subh kabhi to aaegi

Sahir Ludhianvi

wo subh kabhi to aaegi

Sahir Ludhianvi

1

vo sub.h kabhī to aa.egī

in kaalī sadiyoñ ke sar se jab raat āñchal Dhalkegā

jab dukh ke bādal pighleñge jab sukh sāgar chhalkegā

jab ambar jhuum ke nāchegā jab dhartī naġhme gā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

jis sub.h ḳhātir jug jug se ham sab mar mar kar jiite haiñ

jis sub.h ke amrit dhun meñ ham zahr ke pyāle piite haiñ

in bhūkī pyāsī rūhoñ par ik din to karam farmā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

maanā ki abhī tere mere armānoñ qīmat kuchh bhī nahīñ

miTTī bhī hai kuchh mol magar insānoñ qīmat kuchh bhī nahīñ

insānoñ izzat jab jhūTe sikkoñ meñ na taulī jā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

daulat ke liye jab aurat ismat ko na bechā jā.egā

chāhat ko na kuchlā jā.egā ġhairat ko na bechā jā.egā

apne kaale kartūtoñ par jab ye duniyā sharmā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

bīteñge kabhī to din āḳhir ye bhuuk ke aur bekārī ke

TūTeñge kabhī to but āḳhir daulat ijāra-dārī ke

jab ek anokhī duniyā buniyād uThā.ī jā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

majbūr buḌhāpā jab suunī rāhoñ dhuul na phāñkegā

ma.asūm laḌakpan jab gandī galiyoñ meñ bhiik na māñgegā

haq māñgne vāloñ ko jis din suulī na dikhā.ī jā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

fāqoñ chitāoñ par jis din insāñ na jalā.e jā.eñge

sīnoñ ke dahakte dozaḳh meñ armāñ na jalā.e jā.eñge

ye narak se bhī gandī duniyā jab sovarg banā.ī jā.egī

vo sub.h kabhī to aa.egī

2

vo sub.h hamīñ se aa.egī

jab dhartī karvaT badlegī jab qaid se qaidī chhūTeñge

jab paap gharauñde phūTeñge jab zulm ke bandhan TūTeñge

us sub.h ko ham lā.eñge vo sub.h hamīñ se aa.egī

vo sub.h hamīñ se aa.egī

manhūs samājī Dhāñchoñ meñ jab zulm na paale jā.eñge

jab haath na kaaTe jā.eñge jab sar na uchhāle jā.eñge

jailoñ ke binā jab duniyā sarkār chalā.ī jā.egī

vo sub.h hamīñ se aa.egī

sansār ke saare mehnat-kash khetoñ se miloñ se nikleñge

be-ghar be-dar be-bas insāñ tārīk biloñ se nikleñge

duniyā amn aur ḳhush-hālī ke phūloñ se sajā.ī jā.egī

vo sub.h hamīñ se aa.egī

1

wo subh kabhi to aaegi

in kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal Dhalkega

jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh ka sagar chhalkega

jab ambar jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi

wo subh kabhi to aaegi

jis subh ki KHatir jug jug se hum sab mar mar kar jite hain

jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain

in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi

wo subh kabhi to aaegi

mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin

miTTi ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin

insanon ki izzat jab jhuTe sikkon mein na tauli jaegi

wo subh kabhi to aaegi

daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega

chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega

apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi

wo subh kabhi to aaegi

bitenge kabhi to din aaKHir ye bhuk ke aur bekari ke

TuTenge kabhi to but aaKHir daulat ki ijara-dari ke

jab ek anokhi duniya ki buniyaad uThai jaegi

wo subh kabhi to aaegi

majbur buDhapa jab suni rahon ki dhul na phankega

masum laDakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega

haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi

wo subh kabhi to aaegi

faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge

sinon ke dahakte dozaKH mein arman na jalae jaenge

ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg banai jaegi

wo subh kabhi to aaegi

2

wo subh hamin se aaegi

jab dharti karwaT badlegi jab qaid se qaidi chhuTenge

jab pap gharaunde phuTenge jab zulm ke bandhan TuTenge

us subh ko hum hi laenge wo subh hamin se aaegi

wo subh hamin se aaegi

manhus samaji Dhanchon mein jab zulm na pale jaenge

jab hath na kaTe jaenge jab sar na uchhaale jaenge

jailon ke bina jab duniya ki sarkar chalai jaegi

wo subh hamin se aaegi

sansar ke sare mehnat-kash kheton se milon se niklenge

be-ghar be-dar be-bas insan tarik bilon se niklenge

duniya amn aur KHush-haali ke phulon se sajai jaegi

wo subh hamin se aaegi

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 342)
  • Author : SAHIR LUDHIANVI
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now