Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwa

Allama Iqbal

shikwa

Allama Iqbal

Interesting Fact

From Part-3. 1908 (Bang-e-Dara)

kyuuñ ziyāñ-kār banūñ sūd-farāmosh rahūñ

fikr-e-fardā na karūñ mahv-e-ġham-e-dosh rahūñ

naale bulbul ke sunūñ aur hama-tan gosh rahūñ

ham-navā maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ

jur.at-āmoz mirī tāb-e-suḳhan hai mujh ko

shikva allāh se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko

hai bajā sheva-e-taslīm meñ mash.hūr haiñ ham

qissa-e-dard sunāte haiñ ki majbūr haiñ ham

saaz ḳhāmosh haiñ fariyād se māmūr haiñ ham

naala aatā hai agar lab pe to ma.azūr haiñ ham

ai ḳhudā shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le

ḳhūgar-e-hamd se thoḌā gila bhī sun le

thī to maujūd azal se tirī zāt-e-qadīm

phuul thā zeb-e-chaman par na pareshāñ thī shamīm

shart insāf hai ai sāhib-e-altāf-e-amīm

bū-e-gul phailtī kis tarah jo hotī na nasīm

ham ko jam.īyat-e-ḳhātir ye pareshānī thī

varna ummat tire mahbūb dīvānī thī

ham se pahle thā ajab tere jahāñ manzar

kahīñ masjūd the patthar kahīñ ma.abūd shajar

ḳhūgar-e-paikar-e-mahsūs thī insāñ nazar

māntā phir koī an-dekhe ḳhudā ko kyūñkar

tujh ko ma.alūm hai letā thā koī naam tirā

quvvat-e-bāzu-e-muslim ne kiyā kaam tirā

bas rahe the yahīñ saljūq bhī tūrānī bhī

ahl-e-chīñ chiin meñ īrān meñ sāsānī bhī

isī māmūre meñ ābād the yūnānī bhī

isī duniyā meñ yahūdī bhī the nasrānī bhī

par tire naam pe talvār uThā.ī kis ne

baat jo bigḌī huī thī vo banā.ī kis ne

the hamīñ ek tire mārka-ārāoñ meñ

ḳhushkiyoñ meñ kabhī laḌte kabhī dariyāoñ meñ

diiñ azāneñ kabhī europe ke kalīsāoñ meñ

kabhī africa ke tapte hue sahrāoñ meñ

shaan āñkhoñ meñ na jachtī thī jahāñ-dāroñ

kalma paḌhte the hamīñ chhāñv meñ talvāroñ

ham jo jiite the to jangoñ musībat ke liye

aur marte the tire naam azmat ke liye

thī na kuchh teġhzanī apnī hukūmat ke liye

sar-ba-kaf phirte the kyā dahr meñ daulat ke liye

qaum apnī jo zar-o-māl-e-jahāñ par martī

but-faroshī ke evaz but-shikanī kyuuñ kartī

Tal na sakte the agar jang meñ aḌ jaate the

paañv sheroñ ke bhī maidāñ se ukhaḌ jaate the

tujh se sarkash huā koī to bigaḌ jaate the

teġh kyā chiiz hai ham top se laḌ jaate the

naqsh-e-tauhīd har dil pe biThāyā ham ne

zer-e-ḳhanjar bhī ye paiġhām sunāyā ham ne

kah de ki ukhāḌā dar-e-ḳhaibar kis ne

shahr qaisar jo thā us ko kiyā sar kis ne

toḌe maḳhlūq ḳhudā-vandoñ ke paikar kis ne

kaaT kar rakh diye kuffār ke lashkar kis ne

kis ne ThanDā kiyā ātish-kada-e-īrāñ ko

kis ne phir zinda kiyā tazkira-e-yazdāñ ko

kaun qaum faqat terī talabgār huī

aur tere liye zahmat-kash-e-paikār huī

kis shamshīr jahāñgīr jahāñ-dār huī

kis takbīr se duniyā tirī bedār huī

kis haibat se sanam sahme hue rahte the

muñh ke bal gir ke hū-allahu-ahad kahte the

aa gayā ain laḌā.ī meñ agar vaqt-e-namāz

qibla-rū ho ke zamīñ-bos huī qaum-e-hijāz

ek saf meñ khaḌe ho ga.e mahmūd o ayaaz

na koī banda rahā aur na koī banda-navāz

banda o sāhab o mohtāj o ġhanī ek hue

terī sarkār meñ pahuñche to sabhī ek hue

mahfil-e-kaun-o-makāñ meñ sahar o shaam phire

mai-e-tauhīd ko le kar sifat-e-jām phire

koh meñ dasht meñ le kar tirā paiġhām phire

aur ma.alūm hai tujh ko kabhī nākām phire

dasht to dasht haiñ dariyā bhī na chhoḌe ham ne

bahr-e-zulmāt meñ dauḌā diye ghoḌe ham ne

safha-e-dahr se bātil ko miTāyā ham ne

nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā ham ne

tere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā ham ne

tere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā ham ne

phir bhī ham se ye gila hai ki vafādār nahīñ

ham vafādār nahīñ bhī to dildār nahīñ

ummateñ aur bhī haiñ un meñ gunahgār bhī haiñ

ijz vaale bhī haiñ mast-e-mai-e-pindār bhī haiñ

un meñ kāhil bhī haiñ ġhāfil bhī haiñ hushyār bhī haiñ

saikḌoñ haiñ ki tire naam se be-zār bhī haiñ

rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par

barq girtī hai to bechāre musalmānoñ par

but sanam-ḳhānoñ meñ kahte haiñ musalmān ga.e

hai ḳhushī un ko ki ka.abe ke nigahbān ga.e

manzil-e-dahr se ūñToñ ke hudī-ḳhvān ga.e

apnī baġhloñ meñ dabā.e hue qur.ān ga.e

ḳhanda-zan kufr hai ehsās tujhe hai ki nahīñ

apnī tauhīd kuchh paas tujhe hai ki nahīñ

ye shikāyat nahīñ haiñ un ke ḳhazāne māmūr

nahīñ mahfil meñ jinheñ baat bhī karne shu.ūr

qahr to ye hai ki kāfir ko mileñ huur o qusūr

aur bechāre musalmāñ ko faqat vāda-e-hūr

ab vo altāf nahīñ ham pe ināyāt nahīñ

baat ye kyā hai ki pahlī mudārāt nahīñ

kyuuñ musalmānoñ meñ hai daulat-e-duniyā nāyāb

terī qudrat to hai vo jis na had hai na hisāb

jo chāhe to uThe sīna-e-sahrā se habāb

rah-rav-e-dasht ho sailī-zada-e-mauj-e-sarāb

tān-e-aġhyār hai rusvā.ī hai nādārī hai

kyā tire naam pe marne evaz ḳhvārī hai

banī aġhyār ab chāhne vaalī duniyā

rah ga.ī apne liye ek ḳhayālī duniyā

ham to ruḳhsat hue auroñ ne sañbhālī duniyā

phir na kahnā huī tauhīd se ḳhālī duniyā

ham to jiite haiñ ki duniyā meñ tirā naam rahe

kahīñ mumkin hai ki saaqī na rahe jaam rahe

terī mahfil bhī ga.ī chāhne vaale bhī ga.e

shab aaheñ bhī ga.iiñ sub.h ke naale bhī ga.e

dil tujhe de bhī ga.e apnā sila le bhī ga.e

aa ke baiThe bhī na the aur nikāle bhī ga.e

aa.e ushshāq ga.e vāda-e-fardā le kar

ab unheñ DhūñD charāġh-e-ruḳh-e-zebā le kar

dard-e-lailā bhī vahī qais pahlū bhī vahī

najd ke dasht o jabal meñ ram-e-āhū bhī vahī

ishq dil bhī vahī husn jaadū bhī vahī

ummat-e-ahmad-e-mursil bhī vahī bhī vahī

phir ye āzurdagi-e-ġhair sabab kyā ma.anī

apne shaidāoñ pe ye chashm-e-ġhazab kyā ma.anī

tujh ko chhoḌā ki rasūl-e-arabī ko chhoḌā

but-garī pesha kiyā but-shikanī ko chhoḌā

ishq ko ishq āshufta-sarī ko chhoḌā

rasm-e-salmān o uvais-e-qaranī ko chhoḌā

aag takbīr sīnoñ meñ dabī rakhte haiñ

zindagī misl-e-bilāl-e-habashī rakhte haiñ

ishq ḳhair vo pahlī adā bhī na sahī

jāda-paimāli-e-taslīm-o-razā bhī na sahī

muztarib dil sifat-e-qibla-numā bhī na sahī

aur pābandi-e-ā.īn-e-vafā bhī na sahī

kabhī ham se kabhī ġhairoñ se shanāsā.ī hai

baat kahne nahīñ bhī to harjā.ī hai

sar-e-fārāñ pe kiyā diin ko kāmil ne

ik ishāre meñ hazāroñ ke liye dil ne

ātish-andoz kiyā ishq hāsil ne

phūñk garmi-e-ruḳhsār se mahfil ne

aaj kyuuñ siine hamāre sharer-ābād nahīñ

ham vahī soḳhta-sāmāñ haiñ tujhe yaad nahīñ

vādī-e-najd meñ vo shor-e-salāsil na rahā

qais dīvāna-e-nazzāra-e-mahmil na rahā

hausle vo na rahe ham na rahe dil na rahā

ghar ye ujḌā hai ki raunaq-e-mahfil na rahā

ai ḳhushā aañ roz ki aa.ī o ba-sad naaz aa.ī

be-hijābāna sū-e-mahfil-e-mā baaz aa.ī

bāda-kash ġhair haiñ gulshan meñ lab-e-jū baiThe

sunte haiñ jām-ba-kaf naġhma-e-kū-kū baiThe

daur hañgāma-e-gulzār se yaksū baiThe

tere dīvāne bhī haiñ muntazir-e-hū baiThe

apne parvānoñ ko phir zauq-e-ḳhud-afrozī de

barq-e-derīna ko farmān-e-jigar-sozī de

qaum-e-āvāra ināñ-tāb hai phir sū-e-hijāz

le uḌā bulbul-e-be-par ko mazāq-e-parvāz

muztarib-e-bāġh ke har ġhunche meñ hai bū-e-niyāz

zarā chheḌ to de tishna-e-mizrāb hai saaz

naġhme betāb haiñ tāroñ se nikalne ke liye

tuur muztar hai usī aag meñ jalne ke liye

mushkileñ ummat-e-marhūm āsāñ kar de

mor-e-be-māya ko ham-dosh-e-sulaimāñ kar de

jins-e-nāyāb-e-mohabbat ko phir arzāñ kar de

hind ke dair-nashīnoñ ko musalmāñ kar de

jū-e-ḳhūñ chakad az hasrat-e-dairīna-e-mā

tapad naala ba-nishtar kada-e-sīna-e-mā

bū-e-gul le ga.ī bairūn-e-chaman rāz-e-chaman

kyā qayāmat hai ki ḳhud phuul haiñ ġhammāz-e-chaman

ahd-e-gul ḳhatm huā TuuT gayā sāz-e-chaman

uḌ ga.e Dāliyoñ se zamzama-pardāz-e-chaman

ek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab tak

us ke siine meñ hai naġhmoñ talātum ab tak

qumriyāñ shāḳh-e-sanobar se gurezāñ bhī huiiñ

pattiyāñ phuul jhaḌ jhaḌ ke pareshāñ bhī huiiñ

vo purānī rausheñ baaġh vīrāñ bhī huiiñ

Dāliyāñ pairahan-e-barg se uryāñ bhī huiiñ

qaid-e-mausam se tabī.at rahī āzād us

kaash gulshan meñ samajhtā koī fariyād us

lutf marne meñ hai baaqī na maza jiine meñ

kuchh maza hai to yahī ḳhūn-e-jigar piine meñ

kitne betāb haiñ jauhar mire ā.īne meñ

kis qadar jalve taḌapte haiñ mire siine meñ

is gulistāñ meñ magar dekhne vaale nahīñ

daaġh jo siine meñ rakhte hoñ vo laale nahīñ

chaak is bulbul-e-tanhā navā se dil hoñ

jāgne vaale isī bāñg-e-darā se dil hoñ

ya.anī phir zinda na.e ahd-e-vafā se dil hoñ

phir isī bāda-e-dairīna ke pyāse dil hoñ

ajamī ḳhum hai to kyā mai to hijāzī hai mirī

naġhma hindī hai to kyā lai to hijāzī hai mirī

kyun ziyan-kar banun sud-faramosh rahun

fikr-e-farda na karun mahw-e-gham-e-dosh rahun

nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun

ham-nawa main bhi koi gul hun ki KHamosh rahun

jurat-amoz meri tab-e-suKHan hai mujh ko

shikwa allah se KHakam-ba-dahan hai mujh ko

hai baja shewa-e-taslim mein mashhur hain hum

qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain hum

saz KHamosh hain fariyaad se mamur hain hum

nala aata hai agar lab pe to mazur hain hum

ai KHuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le

KHugar-e-hamd se thoDa sa gila bhi sun le

thi to maujud azal se hi teri zat-e-qadim

phul tha zeb-e-chaman par na pareshan thi shamim

shart insaf hai ai sahib-e-altaf-e-amim

bu-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim

hum ko jamiyat-e-KHatir ye pareshani thi

warna ummat tere mahbub ki diwani thi

hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar

kahin masjud the patthar kahin mabud shajar

KHugar-e-paikar-e-mahsus thi insan ki nazar

manta phir koi an-dekhe KHuda ko kyunkar

tujh ko malum hai leta tha koi nam tera

quwwat-e-bazu-e-muslim ne kiya kaam tera

bas rahe the yahin saljuq bhi turani bhi

ahl-e-chin chin mein iran mein sasani bhi

isi mamure mein aabaad the yunani bhi

isi duniya mein yahudi bhi the nasrani bhi

par tere nam pe talwar uThai kis ne

baat jo bigDi hui thi wo banai kis ne

the hamin ek tere marka-araon mein

KHushkiyon mein kabhi laDte kabhi dariyaon mein

din azanen kabhi europe ke kalisaon mein

kabhi africa ke tapte hue sahraon mein

shan aankhon mein na jachti thi jahan-daron ki

kalma paDhte the hamin chhanw mein talwaron ki

hum jo jite the to jangon ki musibat ke liye

aur marte the tere nam ki azmat ke liye

thi na kuchh teghzani apni hukumat ke liye

sar-ba-kaf phirte the kya dahr mein daulat ke liye

qaum apni jo zar-o-mal-e-jahan par marti

but-faroshi ke ewaz but-shikani kyun karti

Tal na sakte the agar jang mein aD jate the

panw sheron ke bhi maidan se ukhaD jate the

tujh se sarkash hua koi to bigaD jate the

tegh kya chiz hai hum top se laD jate the

naqsh-e-tauhid ka har dil pe biThaya hum ne

zer-e-KHanjar bhi ye paigham sunaya hum ne

tu hi kah de ki ukhaDa dar-e-KHaibar kis ne

shahr qaisar ka jo tha us ko kiya sar kis ne

toDe maKHluq KHuda-wandon ke paikar kis ne

kaT kar rakh diye kuffar ke lashkar kis ne

kis ne ThanDa kiya aatish-kada-e-iran ko

kis ne phir zinda kiya tazkira-e-yazdan ko

kaun si qaum faqat teri talabgar hui

aur tere liye zahmat-kash-e-paikar hui

kis ki shamshir jahangir jahan-dar hui

kis ki takbir se duniya teri bedar hui

kis ki haibat se sanam sahme hue rahte the

munh ke bal gir ke hu-allahu-ahad kahte the

aa gaya ain laDai mein agar waqt-e-namaz

qibla-ru ho ke zamin-bos hui qaum-e-hijaz

ek hi saf mein khaDe ho gae mahmud o ayaz

na koi banda raha aur na koi banda-nawaz

banda o sahab o mohtaj o ghani ek hue

teri sarkar mein pahunche to sabhi ek hue

mahfil-e-kaun-o-makan mein sahar o sham phire

mai-e-tauhid ko le kar sifat-e-jam phire

koh mein dasht mein le kar tera paigham phire

aur malum hai tujh ko kabhi nakaam phire

dasht to dasht hain dariya bhi na chhoDe hum ne

bahr-e-zulmat mein dauDa diye ghoDe hum ne

safha-e-dahr se baatil ko miTaya hum ne

nau-e-insan ko ghulami se chhuDaya hum ne

tere kabe ko jabinon se basaya hum ne

tere quran ko sinon se lagaya hum ne

phir bhi hum se ye gila hai ki wafadar nahin

hum wafadar nahin tu bhi to dildar nahin

ummaten aur bhi hain un mein gunahgar bhi hain

ijz wale bhi hain mast-e-mai-e-pindar bhi hain

un mein kahil bhi hain ghafil bhi hain hushyar bhi hain

saikDon hain ki tere nam se be-zar bhi hain

rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par

barq girti hai to bechaare musalmanon par

but sanam-KHanon mein kahte hain musalman gae

hai KHushi un ko ki kabe ke nigahban gae

manzil-e-dahr se unTon ke hudi-KHwan gae

apni baghlon mein dabae hue quran gae

KHanda-zan kufr hai ehsas tujhe hai ki nahin

apni tauhid ka kuchh pas tujhe hai ki nahin

ye shikayat nahin hain un ke KHazane mamur

nahin mahfil mein jinhen baat bhi karne ka shuur

qahr to ye hai ki kafir ko milen hur o qusur

aur bechaare musalman ko faqat wada-e-hur

ab wo altaf nahin hum pe inayat nahin

baat ye kya hai ki pahli si mudaraat nahin

kyun musalmanon mein hai daulat-e-duniya nayab

teri qudrat to hai wo jis ki na had hai na hisab

tu jo chahe to uThe sina-e-sahra se habab

rah-raw-e-dasht ho saili-zada-e-mauj-e-sarab

tan-e-aghyar hai ruswai hai nadari hai

kya tere nam pe marne ka ewaz KHwari hai

bani aghyar ki ab chahne wali duniya

rah gai apne liye ek KHayali duniya

hum to ruKHsat hue auron ne sanbhaali duniya

phir na kahna hui tauhid se KHali duniya

hum to jite hain ki duniya mein tera nam rahe

kahin mumkin hai ki saqi na rahe jam rahe

teri mahfil bhi gai chahne wale bhi gae

shab ki aahen bhi gain subh ke nale bhi gae

dil tujhe de bhi gae apna sila le bhi gae

aa ke baiThe bhi na the aur nikale bhi gae

aae ushshaq gae wada-e-farda le kar

ab unhen DhunD charagh-e-ruKH-e-zeba le kar

dard-e-laila bhi wahi qais ka pahlu bhi wahi

najd ke dasht o jabal mein ram-e-ahu bhi wahi

ishq ka dil bhi wahi husn ka jadu bhi wahi

ummat-e-ahmad-e-mursil bhi wahi tu bhi wahi

phir ye aazurdagi-e-ghair sabab kya mani

apne shaidaon pe ye chashm-e-ghazab kya mani

tujh ko chhoDa ki rasul-e-arabi ko chhoDa

but-gari pesha kiya but-shikani ko chhoDa

ishq ko ishq ki aashufta-sari ko chhoDa

rasm-e-salman o uwais-e-qarani ko chhoDa

aag takbir ki sinon mein dabi rakhte hain

zindagi misl-e-bilal-e-habashi rakhte hain

ishq ki KHair wo pahli si ada bhi na sahi

jada-paimali-e-taslim-o-raza bhi na sahi

muztarib dil sifat-e-qibla-numa bhi na sahi

aur pabandi-e-ain-e-wafa bhi na sahi

kabhi hum se kabhi ghairon se shanasai hai

baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai

sar-e-faran pe kiya din ko kaamil tu ne

ek ishaare mein hazaron ke liye dil tu ne

aatish-andoz kiya ishq ka hasil tu ne

phunk di garmi-e-ruKHsar se mahfil tu ne

aaj kyun sine hamare sharer-abaad nahin

hum wahi soKHta-saman hain tujhe yaad nahin

wadi-e-najd mein wo shor-e-salasil na raha

qais diwana-e-nazzara-e-mahmil na raha

hausle wo na rahe hum na rahe dil na raha

ghar ye ujDa hai ki tu raunaq-e-mahfil na raha

ai KHusha aan roz ki aai o ba-sad naz aai

be-hijabana su-e-mahfil-e-ma baz aai

baada-kash ghair hain gulshan mein lab-e-ju baiThe

sunte hain jam-ba-kaf naghma-e-ku-ku baiThe

daur hangama-e-gulzar se yaksu baiThe

tere diwane bhi hain muntazir-e-hu baiThe

apne parwanon ko phir zauq-e-KHud-afrozi de

barq-e-derina ko farman-e-jigar-sozi de

qaum-e-awara inan-tab hai phir su-e-hijaz

le uDa bulbul-e-be-par ko mazaq-e-parwaz

muztarib-e-bagh ke har ghunche mein hai bu-e-niyaz

tu zara chheD to de tishna-e-mizrab hai saz

naghme betab hain taron se nikalne ke liye

tur muztar hai usi aag mein jalne ke liye

mushkilen ummat-e-marhum ki aasan kar de

mor-e-be-maya ko ham-dosh-e-sulaiman kar de

jins-e-nayab-e-mohabbat ko phir arzan kar de

hind ke dair-nashinon ko musalman kar de

ju-e-KHun mi chakad az hasrat-e-dairina-e-ma

mi tapad nala ba-nishtar kada-e-sina-e-ma

bu-e-gul le gai bairun-e-chaman raaz-e-chaman

kya qayamat hai ki KHud phul hain ghammaz-e-chaman

ahd-e-gul KHatm hua TuT gaya saz-e-chaman

uD gae Daliyon se zamzama-pardaz-e-chaman

ek bulbul hai ki mahw-e-tarannum ab tak

us ke sine mein hai naghmon ka talatum ab tak

qumriyan shaKH-e-sanobar se gurezan bhi huin

pattiyan phul ki jhaD jhaD ke pareshan bhi huin

wo purani raushen bagh ki viran bhi huin

Daliyan pairahan-e-barg se uryan bhi huin

qaid-e-mausam se tabiat rahi aazad us ki

kash gulshan mein samajhta koi fariyaad us ki

lutf marne mein hai baqi na maza jine mein

kuchh maza hai to yahi KHun-e-jigar pine mein

kitne betab hain jauhar mere aaine mein

kis qadar jalwe taDapte hain mere sine mein

is gulistan mein magar dekhne wale hi nahin

dagh jo sine mein rakhte hon wo lale hi nahin

chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon

jagne wale isi bang-e-dara se dil hon

yani phir zinda nae ahd-e-wafa se dil hon

phir isi baada-e-dairina ke pyase dil hon

ajami KHum hai to kya mai to hijazi hai meri

naghma hindi hai to kya lai to hijazi hai meri

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Zia Mohyeddin

Zia Mohyeddin

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

shikwa Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now