raqib se!
Interesting Fact
When Faiz was residing in Sialkot, in a house opposite to that of his, there lived a girl Faiz was in love with. One unfortunate day, on his return from college, Faiz discovered that the girl had left the city. Aagha Naasir writes that years later when Faiz, having risen to popular fame and appeal, revisited Sialkot, he had a serendipitous meeting with the same girl who happened to be visiting the city at the same time. Her husband was keen to meet Faiz. She urged Faiz to take note of her husband. This became an inspiration for 'Raqib Se!'.
aa ki vābasta haiñ us husn kī yādeñ tujh se
jis ne is dil ko parī-ḳhāna banā rakkhā thā
jis kī ulfat meñ bhulā rakkhī thī duniyā ham ne
dahr ko dahr kā afsāna banā rakkhā thā
āshnā haiñ tire qadmoñ se vo rāheñ jin par
us kī mad.hosh javānī ne ināyat kī hai
kārvāñ guzre haiñ jin se usī rānā.ī ke
jis kī in āñkhoñ ne be-sūd ibādat kī hai
tujh se khelī haiñ vo mahbūb havā.eñ jin meñ
us ke malbūs kī afsurda mahak baaqī hai
tujh pe barsā hai usī baam se mahtāb kā nuur
jis meñ biitī huī rātoñ kī kasak baaqī hai
tū ne dekhī hai vo peshānī vo ruḳhsār vo hoñT
zindagī jin ke tasavvur meñ luTā dī ham ne
tujh pe uTThī haiñ vo khoī huī sāhir āñkheñ
tujh ko ma.alūm hai kyuuñ umr gañvā dī ham ne
ham pe mushtarka haiñ ehsān ġham-e-ulfat ke
itne ehsān ki ginvā.ūñ to ginvā na sakūñ
ham ne is ishq meñ kyā khoyā hai kyā sīkhā hai
juz tire aur ko samjhā.ūñ to samjhā na sakūñ
ājizī sīkhī ġharīboñ kī himāyat sīkhī
yās-o-hirmān ke dukh-dard ke ma.anī sīkhe
zer-dastoñ ke masā.ib ko samajhnā sīkhā
sard aahoñ ke ruḳh-e-zard ke ma.anī sīkhe
jab kahīñ baiTh ke rote haiñ vo bekas jin ke
ashk āñkhoñ meñ bilakte hue so jaate haiñ
nā-tavānoñ ke nivāloñ pe jhapaTte haiñ uqaab
baazū tole hue mañDlāte hue aate haiñ
jab kabhī biktā hai bāzār meñ mazdūr kā gosht
shāh-rāhoñ pe ġharīboñ kā lahū bahtā hai
aag sī siine meñ rah rah ke ubaltī hai na pūchh
apne dil par mujhe qaabū hī nahīñ rahtā hai
aa ki wabasta hain us husn ki yaaden tujh se
jis ne is dil ko pari-KHana bana rakkha tha
jis ki ulfat mein bhula rakkhi thi duniya hum ne
dahr ko dahr ka afsana bana rakkha tha
aashna hain tere qadmon se wo rahen jin par
us ki madhosh jawani ne inayat ki hai
karwan guzre hain jin se usi ranai ke
jis ki in aankhon ne be-sud ibaadat ki hai
tujh se kheli hain wo mahbub hawaen jin mein
us ke malbus ki afsurda mahak baqi hai
tujh pe barsa hai usi baam se mahtab ka nur
jis mein biti hui raaton ki kasak baqi hai
tu ne dekhi hai wo peshani wo ruKHsar wo honT
zindagi jin ke tasawwur mein luTa di hum ne
tujh pe uTThi hain wo khoi hui sahir aankhen
tujh ko malum hai kyun umr ganwa di hum ne
hum pe mushtarka hain ehsan gham-e-ulfat ke
itne ehsan ki ginwaun to ginwa na sakun
hum ne is ishq mein kya khoya hai kya sikha hai
juz tere aur ko samjhaun to samjha na sakun
aajizi sikhi gharibon ki himayat sikhi
yas-o-hirman ke dukh-dard ke mani sikhe
zer-daston ke masaib ko samajhna sikha
sard aahon ke ruKH-e-zard ke mani sikhe
jab kahin baiTh ke rote hain wo bekas jin ke
ashk aankhon mein bilakte hue so jate hain
na-tawanon ke niwalon pe jhapaTte hain uqab
bazu tole hue manDlate hue aate hain
jab kabhi bikta hai bazar mein mazdur ka gosht
shah-rahon pe gharibon ka lahu bahta hai
aag si sine mein rah rah ke ubalti hai na puchh
apne dil par mujhe qabu hi nahin rahta hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.