Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu

Interesting Fact

(March 1968)

sab zabānoñ jaan hai urdu

kitnī pyārī zabān hai urdu

saare alfāz qīmtī gauhar

jauharī dukān hai urdu

ye tarāshe hue hasīñ jumle

jaise hīroñ kaan hai urdu

ek ik lafz misl-e-shīr-o-shakar

kitnī mīThī zabān hai urdu

saarī duniyā meñ jis shohrat hai

faḳhr-e-hindostān hai urdu

ḳhvāh hindū ho sikh ho muslim

har bashar zabān hai urdu

shahr-e-dillī sirf dil nahīñ

saare bhārat jaan hai urdu

Hyderabad-o-lucknow nahīñ

har jagah zabān hai urdu

kitnī sadiyāñ guzar chukīñ lekin

aaj tak naujavān hai urdu

'kaif' urdu ke jo muḳhālif haiñ

un ke ghar zabān hai urdu

sab zabanon ki jaan hai urdu

kitni pyari zaban hai urdu

sare alfaz qimti gauhar

jauhari ki dukan hai urdu

ye tarashe hue hasin jumle

jaise hiron ki kan hai urdu

ek ek lafz misl-e-shir-o-shakar

kitni miThi zaban hai urdu

sari duniya mein jis ki shohrat hai

faKHr-e-hindostan hai urdu

KHwah hindu ho sikh ho ya muslim

har bashar ki zaban hai urdu

shahr-e-dilli ka sirf dil hi nahin

sare bhaarat ki jaan hai urdu

Hyderabad-o-lucknow hi nahin

har jagah ki zaban hai urdu

kitni sadiyan guzar chukin lekin

aaj tak naujawan hai urdu

'kaif' urdu ke jo muKHalif hain

un ke ghar ki zaban hai urdu

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now