Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare ustad

Kaif Ahmed Siddiqui

hamare ustad

Kaif Ahmed Siddiqui

kitnī mehnat se paḌhāte haiñ hamāre ustād

ham ko har ilm sikhāte haiñ hamāre ustād

toḌ dete haiñ jahālat ke añdheroñ tilism

ilm sham.a jalāte haiñ hamāre ustād

manzil-e-ilm ke ham log musāfir haiñ magar

rāsta ham ko dikhāte haiñ hamāre ustād

zindagī naam hai kāñToñ ke safar lekin

raah meñ phuul bichhāte haiñ hamāre ustād

dil meñ har lamha taraqqī duā karte haiñ

ham ko aage baḌhāte haiñ hamāre ustād

sab ko tahzīb-o-tamaddun sabaq dete haiñ

ham ko insān banāte haiñ hamāre ustād

ham ko dete haiñ ba-har-lamha payām-e-ta.alīm

achchhī bāteñ batāte haiñ hamāre ustād

ḳhud to rahte haiñ bahut tañg-o-pareshān magar

daulat-e-ilm luTāte haiñ hamāre ustād

ham pe lāzim hai ki ham log kareñ un adab

kis mohabbat se baḌhāte haiñ hamāre ustād

kitni mehnat se paDhate hain hamare ustad

hum ko har ilm sikhate hain hamare ustad

toD dete hain jahaalat ke andheron ka tilism

ilm ki shama jalate hain hamare ustad

manzil-e-ilm ke hum log musafir hain magar

rasta hum ko dikhate hain hamare ustad

zindagi nam hai kanTon ke safar ka lekin

rah mein phul bichhate hain hamare ustad

dil mein har lamha taraqqi ki dua karte hain

hum ko aage hi baDhate hain hamare ustad

sab ko tahzib-o-tamaddun ka sabaq dete hain

hum ko insan banate hain hamare ustad

hum ko dete hain ba-har-lamha payam-e-talim

achchhi baaten hi batate hain hamare ustad

KHud to rahte hain bahut tang-o-pareshan magar

daulat-e-ilm luTate hain hamare ustad

hum pe lazim hai ki hum log karen un ka adab

kis mohabbat se baDhate hain hamare ustad

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now