Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali

har ik makāñ meñ jalā phir diyā divālī

har ik taraf ko ujālā huā divālī

sabhī ke dil meñ samāñ bhā gayā divālī

kisī ke dil ko mazā ḳhush lagā divālī

ajab bahār hai din banā divālī

jahāñ meñ yaaro ajab tarah hai ye tyauhār

kisī ne naqd liyā aur koī kare hai udhār

khilaune kheloñ batāshoñ garm hai bāzār

har ik dukāñ meñ charāġhoñ ho rahī hai bahār

sabhoñ ko fikr hai ab jā-ba-jā divālī

miThā.iyoñ dukāneñ lagā ke halvā.ī

pukārte haiñ ki laala divālī hai aa.ī

batāshe le koī barfī kisī ne tulvā.ī

khilaune vāloñ un se ziyāda ban aa.ī

goyā unhoñ ke vaañ raaj aa gayā divālī

har ek makan mein jala phir diya diwali ka

har ek taraf ko ujala hua diwali ka

sabhi ke dil mein saman bha gaya diwali ka

kisi ke dil ko maza KHush laga diwali ka

ajab bahaar ka hai din bana diwali ka

jahan mein yaro ajab tarah ka hai ye tyauhaar

kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar

khilaune khelon batashon ka garm hai bazar

har ek dukan mein charaghon ki ho rahi hai bahaar

sabhon ko fikr hai ab ja-ba-ja diwali ka

miThaiyon ki dukanen laga ke halwai

pukarte hain ki lala diwali hai aai

batashe le koi barfi kisi ne tulwai

khilaune walon ki un se ziyaada ban aai

goya unhon ke wan raj aa gaya diwali ka

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now