Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhanak

aaj bādal ḳhuub barsā aur baras kar khul gayā

gulsitāñ Daalī Daalī pattā pattā dhul gayā

dekhnā kyā dhul gayā saare saarā āsmāñ

uudā uudā niilā niilā pyārā pyārā āsmāñ

haT gayā bādal parda mil ga.ī kirnoñ ko raah

saltanat par apnī phir ḳhurshīd ne Daalī nigāh

dhuup meñ hai ghaas par paanī ke qatroñ chamak

maat hai is vaqt motī aur hiire damak

de rahī hai lutf kyā sarsabz peḌoñ qatār

aur harī shāḳhoñ pe hai rangīn phūloñ bahār

kyā parinde phir rahe haiñ chahchahāte har taraf

rāgnī barsāt ḳhush ho ke gaate har taraf

dekhnā vo kyā achambhā hai are vo dekhnā

āsmāñ par in daraḳhtoñ se pare vo dekhnā

ye koī jaadū hai sach-much hai ik rangīñ kamāñ

vaah kaisā bhalā lagtā hai ye pyārā samāñ

kis musavvir ne bhare haiñ rang aise ḳhushnumā

is har ik rang hai āñkhoñ meñ jaise khub gayā

ik jagah kaise ikaTThe kar diye haiñ saat rang

shoḳh haiñ sātoñ ke sātoñ ik nahīñ hai maat rang

hai ye qudrat nazāra aur kyā kahiye ise

bas yahī chāhtā hai dekhte rahiye ise

nanhe nanhe jam.a the paanī ke kuchh qatre vahāñ

un pe Daalā aks sūraj ne banā ye kamāñ

dekho dekho ab miTī jaatī hai vo pyārī dhanak

dekhte dekhte gum ho ga.ī saarī dhanak

phir havā meñ mil ga.ī vo sab sab kuchh bhī nahīñ

āñkheñ mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhī nahīñ

aaj baadal KHub barsa aur baras kar khul gaya

gulsitan ki Dali Dali patta patta dhul gaya

dekhna kya dhul gaya sare ka sara aasman

uda uda nila nila pyara pyara aasman

haT gaya baadal ka parda mil gai kirnon ko rah

saltanat par apni phir KHurshid ne Dali nigah

dhup mein hai ghas par pani ke qatron ki chamak

mat hai is waqt moti aur hire ki damak

de rahi hai lutf kya sarsabz peDon ki qatar

aur hari shaKHon pe hai rangin phulon ki bahaar

kya parinde phir rahe hain chahchahate har taraf

ragni barsat ki KHush ho ke gate har taraf

dekhna wo kya achambha hai are wo dekhna

aasman par in daraKHton se pare wo dekhna

ye koi jadu hai ya sach-much hai ek rangin kaman

wah wa kaisa bhala lagta hai ye pyara saman

kis musawwir ne bhare hain rang aise KHushnuma

is ka har ek rang hai aankhon mein jaise khub gaya

ek jagah kaise ikaTThe kar diye hain sat rang

shoKH hain saton ke saton ek nahin hai mat rang

hai ye qudrat ka nazara aur kya kahiye ise

bas yahi ji chahta hai dekhte rahiye ise

nanhe nanhe jama the pani ke kuchh qatre wahan

un pe Dala aks suraj ne bana di ye kaman

dekho dekho ab miTi jati hai wo pyari dhanak

dekhte hi dekhte gum ho gai sari dhanak

phir hawa mein mil gai wo sab ki sab kuchh bhi nahin

aankhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now