chand mein pariyan rahti hain
ammāñ baajī kahtī haiñ
chāñd meñ pariyāñ rahtī haiñ
raat ko par phailātī haiñ
aur utar kar aatī haiñ
sab bachchoñ ko sulātī haiñ
aur phir ḳhvāb dikhātī haiñ
ammāñ baajī kahtī haiñ
chāñd meñ pariyāñ rahtī haiñ
maiñ to aaj na so.ūñgā
raat ga.e tak jāgūñgā
bāhar baaġh meñ baiThūñgā
chāñd kī pariyāñ dekhūñgā
ammāñ baajī kahtī haiñ
chāñd meñ pariyāñ rahtī haiñ
amman baji kahti hain
chand mein pariyan rahti hain
raat ko par phailati hain
aur utar kar aati hain
sab bachchon ko sulati hain
aur phir KHwab dikhati hain
amman baji kahti hain
chand mein pariyan rahti hain
main to aaj na sounga
raat gae tak jagunga
bahar bagh mein baiThunga
chand ki pariyan dekhunga
amman baji kahti hain
chand mein pariyan rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.