Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ki tauba

Raja Mehdi Ali Khan

bachchon ki tauba

Raja Mehdi Ali Khan

ham ne bakrī ke bachchoñ ko kamroñ meñ nachānā chhoḌ diyā

nārāz na ho ammī ham ne har shauq purānā chhoḌ diyā

daddy ke suiT pahan kar ham sofoñ par dance nahīñ karte

saare ghar buniyādoñ ko ab ham ne hilānā chhoḌ diyā

daadā abbā ab chashma bakre ko nahīñ pahnāte ham

naanā abbā laThiyā ab ham ne chhupānā chhoḌ diyā

bandar ko sehrā bāñdh ke ham dūlhā na banā.eñge ammī

ab ghūñghaT kaaḌh bandariyā ko Dolī meñ biThānā chhoḌ diyā

nadiyā ke gahre paanī meñ khaa.e na ka.ī din se ġhote

ghar meñ paḌe ab saḌte haiñ nadiyā pe nahānā chhoḌ diyā

ab sabr ke mīThe phal aaheñ bhar bhar kar khāte haiñ

mālan ko banā baiThe ḳhāla maalī ko rulānā chhoḌ diyā

ghar meñ baiThe sādhū ban kar ab ilm maalā japte haiñ

ḳhargoshoñ ke pīchhe jañgal meñ kuttoñ ko bhagāna chhoḌ diyā

pinjroñ meñ band jo rahtī thiiñ vo phir se uḌā deñ sab chiḌiyāñ

murġhoñ meñ sulh karāte haiñ murġhoñ ko laḌānā chhoḌ diyā

ab ham ne kabhī khānā khā kar kapḌoñ se haath nahīñ poñchhe

dekho ka.ī din se dhobī ne ronā chillānā chhoḌ diyā

har ek baġhāvat chhoḌī hai har ek sharārat ruḳhsat hai

ab ghar meñ farishte aate haiñ shaitān ne aanā chhoḌ diyā

ham se phir bhī nārāz ho kyoñ kyā tum sautelī ammī ho

apne in pyāre bachchoñ ko ab muñh bhī lagānā chhoḌ diyā

jin āñkhoñ meñ roz sharārat thī in āñkhoñ meñ aañsū ab dekho

in aap pyārī āñkhoñ ko ab ham ne rulānā chhoḌ diyā

hai ghar fazā sahmī sahmī ġhamgīn haiñ bachchoñ ke chehre

kab hañs ke kahūñgī ai bachcho kyoñ ham ko satānā chhoḌ diyā

hum ne bakri ke bachchon ko kamron mein nachana chhoD diya

naraaz na ho ammi hum ne har shauq purana chhoD diya

daddy ke suiT pahan kar hum sofon par dance nahin karte

sare ghar ki buniyaadon ko ab hum ne hilana chhoD diya

dada abba ka ab chashma bakre ko nahin pahnate hum

nana abba ki laThiya ab hum ne chhupana chhoD diya

bandar ko sehra bandh ke hum dulha na banaenge ammi

ab ghunghaT kaDh bandariya ko Doli mein biThana chhoD diya

nadiya ke gahre pani mein khae na kai din se ghote

ghar hi mein paDe ab saDte hain nadiya pe nahana chhoD diya

ab sabr ke miThe phal aahen bhar bhar kar khate hain

malan ko bana baiThe KHala mali ko rulana chhoD diya

ghar mein baiThe sadhu ban kar ab ilm ki mala japte hain

KHargoshon ke pichhe jangal mein kutton ko bhagana chhoD diya

pinjron mein band jo rahti thin wo phir se uDa den sab chiDiyan

murghon mein sulh karaate hain murghon ko laDana chhoD diya

ab hum ne kabhi khana kha kar kapDon se hath nahin ponchhe

dekho kai din se dhobi ne rona chillana chhoD diya

har ek baghawat chhoDi hai har ek shararat ruKHsat hai

ab ghar mein farishte aate hain shaitan ne aana chhoD diya

hum se phir bhi naraaz ho kyon kya tum sauteli ammi ho

apne in pyare bachchon ko ab munh bhi lagana chhoD diya

jin aankhon mein roz shararat thi in aankhon mein aansu ab dekho

in aap ki pyari aankhon ko ab hum ne rulana chhoD diya

hai ghar ki faza sahmi sahmi ghamgin hain bachchon ke chehre

kab hans ke kahungi ai bachcho kyon hum ko satana chhoD diya

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now