bachchon ki qawwali
Interesting Fact
This poem was first published in August 1959 in "Khilauna" and for the second time in November 1981 in "Payam-e-Taleem".
halve ke liye phir aaj bhī ham ik aas lagā.e baiThe haiñ
jo baat zabāñ par lā na sake vo dil meñ chhupā.e baiThe haiñ
thoḌī sī miThā.ī taaq pe thī muTThī meñ churā.e baiThe haiñ
abbū ke bhagā.e bhāge the ammī ke bulā.e baiThe haiñ
kuchh bach bhī ga.ī haiñ piTne se kuchh maar bhī khaa.e baiThe haiñ
tujh se to hameñ koī shikva ai ḳhāliq-e-sub.h-o-shām nahīñ
schōl hī aisā hai ki jahāñ kuchh chain nahīñ ārām nahīñ
is vaqt agarche sar meñ kisī ke dard barā.e naam nahīñ
har vaqt magar paḌhte rahnā kam-umroñ kā to kaam nahīñ
sab apnī apnī kursī par sudh-budh bisrā.e baiThe haiñ
ik baar kahīñ se mil jaatā ham sab ko charāġh-e-chain agar
bas saal meñ ik din paḌh lete darje kī kitābeñ far far far
phir ḳhvāb hī dilchaspī rahtī phir ḳhuub maza aatā din bhar
schōl meñ jaanā kyuuñ hotā har roz ye rahtā kyuuñ chakkar
ummīd nahīñ lekin phir bhī ummīd lagā.e baiThe haiñ
lekin ye zamāna ilm kā hai ye vaqt hai aage baḌhne kā
mil-jul ke kareñge gar mehnat ho jā.egā har sapnā puurā
himmat se huī haiñ tāmīreñ jur.at se huā hai kaam nayā
jab azm-o-amal achchhā hogā achchhā hī natīja bhī hogā
ham log yahāñ halva khā kar ik sham.a jalā.e baiThe haiñ
halwe ke liye phir aaj bhi hum ek aas lagae baiThe hain
jo baat zaban par la na sake wo dil mein chhupae baiThe hain
thoDi si miThai taq pe thi muTThi mein churae baiThe hain
abbu ke bhagae bhage the ammi ke bulae baiThe hain
kuchh bach bhi gai hain piTne se kuchh mar bhi khae baiThe hain
tujh se to hamein koi shikwa ai KHaliq-e-subh-o-sham nahin
school hi aisa hai ki jahan kuchh chain nahin aaram nahin
is waqt agarche sar mein kisi ke dard barae nam nahin
har waqt magar paDhte rahna kam-umron ka to kaam nahin
sab apni apni kursi par sudh-budh bisrae baiThe hain
ek bar kahin se mil jata hum sab ko charagh-e-chain agar
bas sal mein ek din paDh lete darje ki kitaben far far far
phir KHwab hi dilchaspi rahti phir KHub maza aata din bhar
school mein jaana kyun hota har roz ye rahta kyun chakkar
ummid nahin lekin phir bhi ummid lagae baiThe hain
lekin ye zamana ilm ka hai ye waqt hai aage baDhne ka
mil-jul ke karenge gar mehnat ho jaega har sapna pura
himmat se hui hain tamiren jurat se hua hai kaam naya
jab azm-o-amal achchha hoga achchha hi natija bhi hoga
hum log yahan halwa kha kar ek shama jalae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.