dosti ka hath
Interesting Fact
In response to Ahmad Faraz's nazm on Indo- Pak strained relations (chalo main haath baDhaata hun dosti ke liye)
tumhārā haath baḌhā hai jo dostī ke liye
mire liye hai vo ik yār-e-ġham-gusār kā haath
vo haath shāḳh-e-gul-e-gulshan-e-tamannā hai
mahak rahā hai mire haath meñ bahār kā haath
ḳhudā kare ki salāmat raheñ ye haath apne
atā hue haiñ jo zulfeñ sañvārne ke liye
zamīñ se naqsh miTāne ko zulm o nafrat kā
falak se chāñd sitāre utārne ke liye
zamīn-e-pāk hamāre jigar kā TukḌā hai
hameñ aziiz hai dehlī o lucknow kī tarah
tumhāre lahje meñ merī navā kā lahja hai
tumhārā dil hai hasīñ merī aarzū kī tarah
kareñ ye ahd ki auzār-e-jañg jitne haiñ
unheñ miTānā hai aur ḳhaak meñ milānā hai
kareñ ye ahd ki arbāb-e-jañg haiñ jitne
unheñ sharāfat o insāniyat sikhānā hai
ji.eñ tamām hasīnān-e-ḳhaibar-o-lahore
ji.eñ tamām javānān-e-jannat-e-kashmīr
ho lab pe naġhma-e-mahr-o-vafā kī tābānī
kitāb-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrīr
tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
ham aa.eñ subh-e-banāras kī raushnī le kar
himāliya kī havāoñ kī tāzgī le kar
phir is ke ba.ad ye pūchheñ ki kaun dushman hai
tumhaara hath baDha hai jo dosti ke liye
mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath
wo hath shaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai
mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath
KHuda kare ki salamat rahen ye hath apne
ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye
zamin se naqsh miTane ko zulm o nafrat ka
falak se chand sitare utarne ke liye
zamin-e-pak hamare jigar ka TukDa hai
hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah
tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai
tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah
karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain
unhen miTana hai aur KHak mein milana hai
karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne
unhen sharafat o insaniyat sikhana hai
jien tamam hasinan-e-KHaibar-o-lahore
jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir
ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani
kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir
tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar
himaliya ki hawaon ki tazgi le kar
phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri(Vol-2) (Pg. 530)
- Author : Ali Ahmad Fatma
- Publication : Qaumi Council Barai Farog Urdu Zaban New Delhi (1927-2005)
- Edition : 1927-2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.