mashwara
kisī kī yaad satātī hai raat din tum ko
kisī ke pyaar se majbūr ho ga.ī ho tum
tumhārā dard mujhe bhī udaas rakhtā hai
qarīb aa ke bahut duur ho ga.ī ho tum
tumhārī āñhkeñ sadā sogvār rahtī haiñ
tumhāre hoñT taraste haiñ muskurāne ko
tumhārī ruuh ko tanhā.iyāñ atā kar ke
ye sochtī ho ki kyā mil gayā zamāne ko
gila karo na zamāne kī sard-mehrī kā
ki is ḳhatā meñ zamāne kā kuchh qusūr nahīñ
tumhāre dil ne use muntaḳhab kiyā ki jise
tumhāre ġham ko samajhne kā bhī shu.ūr nahīñ
tum us kī yaad bhulā do ki bevafā hai vo
har ek dil nahīñ hotā tumhāre dil kī tarah
tum apne pyaar ko rusvā karo na ro ro kar
tumhārā pyaar muqaddas hai bible kī tarah
ab us ke vāste ḳhud ko na yuuñ tabāh karo
ab imtihāñ kī tamannā se fā.eda kyā hai
vo āsmāñ ki jise tum na chhū sakogī kabhī
us āsmāñ kī tamannā se fā.eda kyā hai
kisi ki yaad satati hai raat din tum ko
kisi ke pyar se majbur ho gai ho tum
tumhaara dard mujhe bhi udas rakhta hai
qarib aa ke bahut dur ho gai ho tum
tumhaari aanhken sada sogwar rahti hain
tumhaare honT taraste hain muskurane ko
tumhaari ruh ko tanhaiyan ata kar ke
ye sochti ho ki kya mil gaya zamane ko
gila karo na zamane ki sard-mehri ka
ki is KHata mein zamane ka kuchh qusur nahin
tumhaare dil ne use muntaKHab kiya ki jise
tumhaare gham ko samajhne ka bhi shuur nahin
tum us ki yaad bhula do ki bewafa hai wo
har ek dil nahin hota tumhaare dil ki tarah
tum apne pyar ko ruswa karo na ro ro kar
tumhaara pyar muqaddas hai bible ki tarah
ab us ke waste KHud ko na yun tabah karo
ab imtihan ki tamanna se faeda kya hai
wo aasman ki jise tum na chhu sakogi kabhi
us aasman ki tamanna se faeda kya hai
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.