Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera kamre se bas nindon ka rishta tha

Charagh Sharma

mera kamre se bas nindon ka rishta tha

Charagh Sharma

mirā kamre se bas nīñdoñ rishta thā

aur us ziine se ḳhvāboñ

jo lahrātā huā jaatā thā chhat tak

vo chhat

jahāñ se āsmāñ nazdīk thā

jahāñ ārām farmātī thiiñ āñkheñ

vo āñkheñ jin meñ sapne the

vo sapne jin meñ duniyā thī

vo duniyā jis meñ sab kuchh thā

vahī chhat

jahāñ par ek chiḌiyā surīlī chahchahāhaT thī

patangoñ sajāvaT thī

falak jhilmilāhaT thī

magar afsos

vo chiḌiyā jo savere ghar meñ sabse pahle uThtī thī

kise mā'lūm thā ik din vo zer-e-dām aa.egī

patang-e-kāġhazī jo āsmāñ chhūne vaalī thī

kise mā'lūm thā vo lauT kar nākām aa.egī

falak jis par tamannāoñ ke kitne chāñd raushan the

kise mā'lūm thā us par amāvas bhī koī shaam aa.egī

vo chhat jo ghar sabse pur-sukūñ aur pyārā hissa thī

kise mā'lūm thā vo ḳhud-kushī ke kaam aa.egī

mera kamre se bas nindon ka rishta tha

aur us zine se KHwabon ka

jo lahraata hua jata tha chhat tak

wo chhat

jahan se aasman nazdik tha

jahan aaram farmati thin aankhen

wo aankhen jin mein sapne the

wo sapne jin mein duniya thi

wo duniya jis mein sab kuchh tha

wahi chhat

jahan par ek chiDiya ki surili chahchahahaT thi

patangon ki sajawaT thi

falak ki jhilmilahaT thi

magar afsos

wo chiDiya jo sawere ghar mein sabse pahle uThti thi

kise ma'lum tha ek din wo zer-e-dam aaegi

patang-e-kaghazi jo aasman chhune hi wali thi

kise ma'lum tha wo lauT kar nakaam aaegi

falak jis par tamannaon ke kitne chand raushan the

kise ma'lum tha us par amawas ki bhi koi sham aaegi

wo chhat jo ghar ka sabse pur-sukun aur pyara hissa thi

kise ma'lum tha wo KHud-kushi ke kaam aaegi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now