jawed ke nam
Interesting Fact
on receiving his son's maiden hand-written letter from London
dayār-e-ishq meñ apnā maqām paidā kar
nayā zamāna na.e sub.h o shaam paidā kar
ḳhudā agar dil-e-fitrat-shanās de tujh ko
sukūt-e-lāla-o-gul se kalām paidā kar
uThā na shīshagarān-e-farañg ke ehsāñ
sifāl-e-hind se miinā o jaam paidā kar
maiñ shāḳh-e-tāk huuñ merī ġhazal hai merā samar
mire samar se mai-e-lāla-fām paidā kar
mirā tarīq amīrī nahīñ faqīrī hai
ḳhudī na bech ġharībī meñ naam paidā kar
dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar
naya zamana nae subh o sham paida kar
KHuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko
sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar
uTha na shishagaran-e-farang ke ehsan
sifal-e-hind se mina o jam paida kar
main shaKH-e-tak hun meri ghazal hai mera samar
mere samar se mai-e-lala-fam paida kar
mera tariq amiri nahin faqiri hai
KHudi na bech gharibi mein nam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.