shakeb jalali (marhum)
vo mire khokhle siine kī añdherī chup meñ
bolte gūñjte naġhmāt kā pur-nūr tilism
merī rātoñ kā vo mahtāb sā jism
aaj kī raat bhī ubhrā lekin
oḌh kar ḳhuun kā farġhul ubhrā
chāñdnī zahr ugaltī huī aag
naġhmagī dard ke sahrāoñ kā raag
chār-sū phail rahī hai phir se
karb kī āhanī bāhoñ meñ laraztī huī raat
phir vahī chup kā hirās
phir vahī zahr mire dil kī asaas
wo mere khokhle sine ki andheri chup mein
bolte gunjte naghmat ka pur-nur tilism
meri raaton ka wo mahtab sa jism
aaj ki raat bhi ubhra lekin
oDh kar KHun ka farghul ubhra
chandni zahr ugalti hui aag
naghmagi dard ke sahraon ka rag
chaar-su phail rahi hai phir se
karb ki aahani bahon mein larazti hui raat
phir wahi chup ka hiras
phir wahi zahr mere dil ki asas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.