shikast
bār-hā mujh se kahā dil ne ki ai sho'bda-gar
tū ki alfāz se asnām-garī kartā hai
kabhī us husn-e-dil-ārā kī bhī tasvīr banā
jo tirī soch ke ḳhākoñ meñ lahū bhartā hai
bār-hā maiñ ne ye āvāz sunī aur chāhā
maan luuñ jo mujhe vijdān mirā kahtā hai
lekin is 'ijz se haarā mire fan kā jaadū
chāñd ko chāñd se baḌh kar koī kyā kahtā hai
bar-ha mujh se kaha dil ne ki ai sho'bda-gar
tu ki alfaz se asnam-gari karta hai
kabhi us husn-e-dil-ara ki bhi taswir bana
jo teri soch ke KHakon mein lahu bharta hai
bar-ha main ne ye aawaz suni aur chaha
man lun jo mujhe wijdan mera kahta hai
lekin is 'ijz se haara mere fan ka jadu
chand ko chand se baDh kar koi kya kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.