Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muhasara

Ahmad Faraz

muhasara

Ahmad Faraz

Interesting Fact

A biting satire on Zia-ul-Haq military regime. Ahmad Faraz was arrested right after the mushaira for reciting this nazm.

mire ġhanīm ne mujh ko payām bhejā hai

ki halqa-zan haiñ mire gird lashkarī us ke

fasīl-e-shahr ke har burj har manāre par

kamāñ-ba-dast sitāda haiñ askarī us ke

vo barq lahar bujhā ga.ī hai jis tapish

vajūd-e-ḳhāk meñ ātish-fishāñ jagātī thī

bichhā diyā gayā bārūd us ke paanī meñ

vo jū-e-āb jo merī galī ko aatī thī

sabhī durīda-dahan ab badan-darīda hue

supurd-e-dār-o-rasan saare sar-kashīda hue

tamām suufī o sālik sabhī shuyūḳh o imaam

umīd-e-lutf pe aivān-e-kaj-kulāh meñ haiñ

mo.azzazīn-e-adālat bhī half uThāne ko

misāl-e-sā.il-e-mubarram nashista raah meñ haiñ

tum ahl-e-harf ki pindār ke sanā-gar the

vo āsmān-e-hunar ke nujūm sāmne haiñ

bas ik musāhib-e-darbār ke ishāre par

gadā-garān-e-suḳhan ke hujūm sāmne haiñ

qalandarān-e-vafā asaas to dekho

tumhāre saath hai kaun ās-pās to dekho

so shart ye hai jo jaañ amaan chāhte ho

to apne lauh-o-qalam qatl-gāh meñ rakh do

vagarna ab ke nishāna kamān-dāroñ

bas ek tum ho so ġhairat ko raah meñ rakh do

ye shart-nāma jo dekhā to elchī se kahā

use ḳhabar nahīñ tārīḳh kyā sikhātī hai

ki raat jab kisī ḳhurshīd ko shahīd kare

to sub.h ik nayā sūraj tarāsh laatī hai

so ye javāb hai merā mire adū ke liye

ki mujh ko hirs-e-karam hai na ḳhauf-e-ḳhamyāza

use hai satvat-e-shamshīr par ghamanD bahut

use shikoh-e-qalam nahīñ hai andāza

mirā qalam nahīñ kirdār us muhāfiz

jo apne shahr ko mahsūr kar ke naaz kare

mirā qalam nahīñ kaasa kisī subuk-sar

jo ġhāsiboñ ko qasīdoñ se sarfarāz kare

mirā qalam nahīñ auzār us naqab-zan

jo apne ghar chhat meñ shigāf Dāltā hai

mirā qalam nahīñ us duzd-e-nīm-shab rafīq

jo be-charāġh gharoñ par kamand uchhāltā hai

mirā qalam nahīñ tasbīh us maballiġh

jo bandagī bhī har dam hisāb rakhtā hai

mirā qalam nahīñ mīzān aise aadil

jo apne chehre pe dohrā naqāb rakhtā hai

mirā qalam to amānat hai mere logoñ

mirā qalam to adālat mire zamīr hai

isī liye to jo likkhā tapāk-e-jāñ se likhā

jabhī to loch kamāñ zabān tiir hai

maiñ kaT girūñ ki salāmat rahūñ yaqīñ hai mujhe

ki ye hisār-e-sitam koī to girā.egā

tamām umr īzā-nasībiyoñ qasam

mire qalam safar rā.egāñ na jā.egā

sarisht-e-ishq ne uftādgī nahīñ paa.ī

qadd-e-sarv na biinī o sāya-paimā.ī

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par

kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

wo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish

wajud-e-KHak mein aatish-fishan jagati thi

bichha diya gaya barud us ke pani mein

wo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi

sabhi durida-dahan ab badan-darida hue

supurd-e-dar-o-rasan sare sar-kashida hue

tamam sufi o salik sabhi shuyuKH o imam

umid-e-lutf pe aiwan-e-kaj-kulah mein hain

moazzazin-e-adalat bhi half uThane ko

misal-e-sail-e-mubarram nashista rah mein hain

tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the

wo aasman-e-hunar ke nujum samne hain

bas ek musahib-e-darbar ke ishaare par

gada-garan-e-suKHan ke hujum samne hain

qalandaran-e-wafa ki asas to dekho

tumhaare sath hai kaun aas-pas to dekho

so shart ye hai jo jaan ki aman chahte ho

to apne lauh-o-qalam qatl-gah mein rakh do

wagarna ab ke nishana kaman-daron ka

bas ek tum ho so ghairat ko rah mein rakh do

ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha

use KHabar nahin tariKH kya sikhati hai

ki raat jab kisi KHurshid ko shahid kare

to subh ek naya suraj tarash lati hai

so ye jawab hai mera mere adu ke liye

ki mujh ko hirs-e-karam hai na KHauf-e-KHamyaza

use hai satwat-e-shamshir par ghamanD bahut

use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza

mera qalam nahin kirdar us muhafiz ka

jo apne shahr ko mahsur kar ke naz kare

mera qalam nahin kasa kisi subuk-sar ka

jo ghasibon ko qasidon se sarfaraaz kare

mera qalam nahin auzar us naqab-zan ka

jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf Dalta hai

mera qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq

jo be-charagh gharon par kamand uchhaalta hai

mera qalam nahin tasbih us maballigh ki

jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai

mera qalam nahin mizan aise aadil ki

jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai

mera qalam to amanat hai mere logon ki

mera qalam to adalat mere zamir ki hai

isi liye to jo likkha tapak-e-jaan se likha

jabhi to loch kaman ka zaban tir ki hai

main kaT girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe

ki ye hisar-e-sitam koi to giraega

tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam

mere qalam ka safar raegan na jaega

sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin pai

tu qadd-e-sarw na bini o saya-paimai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Source :
  • Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 653)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now