Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shahanshah ne banwa ke

Shakeel Badayuni

ek shahanshah ne banwa ke

Shakeel Badayuni

Interesting Fact

Film: Leader 1964

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal

saarī duniyā ko mohabbat nishānī hai

is ke saa.e meñ sadā pyaar ke charche hoñge

ḳhatm jo ho na sakegī vo kahānī hai

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal

taaj vo sham.a hai ulfat ke sanam-ḳhāne

jis ke parvānoñ meñ muflis bhī haiñ zardār bhī haiñ

sañg-e-marmar meñ samā.e hue ḳhvāboñ qasam

marhale pyaar ke āsāñ bhī haiñ dushvār bhī haiñ

dil ko ik josh irādoñ ko javānī hai

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal

taaj ik zinda tasavvur hai kisī shā.er

us afsāna haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ

is ke āġhosh meñ aa kar ye gumāñ hotā hai

zindagī jaise mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ

taaj ne pyaar maujoñ ko ravānī hai

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal

ye hasīñ raat ye mahkī huī pur-nūr fazā

ho ijāzat to ye dil ishq iz.hār kare

ishq insān ko insān banā detā hai

kis himmat hai mohabbat se jo inkār kare

aaj taqdīr ne ye raat suhānī hai

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ taaj mahal

saarī duniyā ko mohabbat nishānī hai

ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal.....

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal

sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai

is ke sae mein sada pyar ke charche honge

KHatm jo ho na sakegi wo kahani di hai

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal

taj wo shama hai ulfat ke sanam-KHane ki

jis ke parwanon mein muflis bhi hain zardar bhi hain

sang-e-marmar mein samae hue KHwabon ki qasam

marhale pyar ke aasan bhi hain dushwar bhi hain

dil ko ek josh iradon ko jawani di hai

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal

taj ek zinda tasawwur hai kisi shaer ka

us ka afsana haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin

is ke aaghosh mein aa kar ye guman hota hai

zindagi jaise mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin

taj ne pyar ki maujon ko rawani di hai

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal

ye hasin raat ye mahki hui pur-nur faza

ho ijazat to ye dil ishq ka izhaar kare

ishq insan ko insan bana deta hai

kis ki himmat hai mohabbat se jo inkar kare

aaj taqdir ne ye raat suhani di hai

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj mahal

sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai

ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

Tagged Under

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now