vajūd-e-zan se hai tasvīr-e-kā.enāt meñ rañg
usī ke saaz se hai zindagī kā soz-e-darūñ
sharaf meñ baḌh ke surayyā se musht-e-ḳhāk us kī
ki har sharaf hai isī darj kā dur-e-maknūñ
mukālamāt-e-falātūñ na likh sakī lekin
usī ke sho.ale se TuuTā sharār-e-aflātūñ
wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang
usi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun
sharaf mein baDh ke surayya se musht-e-KHak us ki
ki har sharaf hai isi darj ka dur-e-maknun
mukalamat-e-falatun na likh saki lekin
usi ke shoale se TuTa sharar-e-aflatun
- Book : کلیات اقبال (Pg. 556)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.