Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe sochne de

Sahir Ludhianvi

mujhe sochne de

Sahir Ludhianvi

merī nākām mohabbat kahānī mat chheḌ

apnī māyūs umañgoñ fasāna na sunā

zindagī talḳh sahī zahr sahī sam sahī

dard o āzār sahī jabr sahī ġham sahī

lekin is dard-o-ġham o jabr vus.at ko to dekh

zulm chhāñv meñ dam toḌtī ḳhilqat ko to dekh

apnī māyūs umañgoñ fasāna na sunā

merī nākām mohabbat kahānī mat chheḌ

jalsa-gāhoñ meñ ye dahshat-zada sahme amboh

rahguzāroñ pe falākat-zada logoñ ke giroh

bhuuk aur pyaas se pazh-murda siyah-fām zamīñ

tīra-o-tār makāñ muflis o bīmār makīñ

nau-e-insāñ meñ ye sarmāya o mehnat tazād

amn o tahzīb ke parcham tale qaumoñ fasād

har taraf ātish o aahan ye sailāb-e-āzīm

nit-na.e tarz pe hotī huī duniyā taqsīm

lahlahāte hue khetoñ pe javānī samāñ

aur dahqān ke chhappar meñ na battī na dhuāñ

ye falak-bos mileñ dilkash o sīmīñ bāzār

ye ġhalāzat pe jhapaTte hue bhūke nādār

duur sāhil pe vo shaffāf makānoñ qatār

sarsarāte hue pardoñ meñ simaTte gulzār

dar-o-dīvār pe anvār sailāb-e-ravāñ

jaise ik shā.er-e-mad.hosh ke ḳhvāboñ jahāñ

ye sabhī kyuuñ hai ye kyā hai mujhe kuchh sochne de

kaun insāñ ḳhudā hai mujhe kuchh sochne de

apnī māyūs umañgoñ fasāna na sunā

merī nākām mohabbat kahānī mat chheḌ

meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD

apni mayus umangon ka fasana na suna

zindagi talKH sahi zahr sahi sam hi sahi

dard o aazar sahi jabr sahi gham hi sahi

lekin is dard-o-gham o jabr ki wusat ko to dekh

zulm ki chhanw mein dam toDti KHilqat ko to dekh

apni mayus umangon ka fasana na suna

meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD

jalsa-gahon mein ye dahshat-zada sahme amboh

rahguzaron pe falakat-zada logon ke giroh

bhuk aur pyas se pazh-murda siyah-fam zamin

tira-o-tar makan muflis o bimar makin

nau-e-insan mein ye sarmaya o mehnat ka tazad

amn o tahzib ke parcham tale qaumon ka fasad

har taraf aatish o aahan ka ye sailab-e-azim

nit-nae tarz pe hoti hui duniya taqsim

lahlahate hue kheton pe jawani ka saman

aur dahqan ke chhappar mein na batti na dhuan

ye falak-bos milen dilkash o simin bazar

ye ghalazat pe jhapaTte hue bhuke nadar

dur sahil pe wo shaffaf makanon ki qatar

sarsaraate hue pardon mein simaTte gulzar

dar-o-diwar pe anwar ka sailab-e-rawan

jaise ek shaer-e-madhosh ke KHwabon ka jahan

ye sabhi kyun hai ye kya hai mujhe kuchh sochne de

kaun insan ka KHuda hai mujhe kuchh sochne de

apni mayus umangon ka fasana na suna

meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 52)

related content

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now