Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi khelne ki farmaish par

kanval Dibaivi

holi khelne ki farmaish par

kanval Dibaivi

hai ye ahbāb ko isrār ki holī khelūñ

toḌ duuñ aaj to maiñ zohd-o-taqaddus fusūñ

mast ho kar maiñ piyūñ jām-e-sharāb-e-hastī

hama-tan bāda-e-ishrat ke nashe meñ jhūmūñ

apnī sanjīda ravish aur udāsī chhoḌūñ

ġham ke asnām ko but-ḳhāna-e-dil meñ toḌūñ

jal uTheñ ġham ke shabistāñ meñ masarrat ke charāġh

barbat-e-dil ke har ik taar ko phir se joḌūñ

mujh ko bahlā.eñge kyā ahl-e-tarab ke naġhme

aur tyauhār rañgīn ḳhushī ke lamhe

maiñ ne har naqsh-e-masarrat ko dabā rakkhā hai

aur dekhe haiñ hasīñ daur ke sundar sapne

suunī suunī nazar aatī hai bisāt-e-hastī

na kahīñ shīsha-o-sāġhar na surūr-o-mastī

chashm-e-muflis meñ larazte hue ashkoñ ke charāġh

qalb-e-nādār hai jaise koī ujḌī bastī

aaj insān insān lahū piitā hai

aaj tahzīb sultān yūñhī jiitā hai

devtā jabr pe rāvan ke hirāsāñ jaise

dāman-e-armān ko nādār yūñhī siitā hai

aaj insān huā makr-o-daġhā daftar

qalb-e-zardār hai ehsās-e-ḳhudī ḳhūgar

be-ḳhabar ho ke ġharīboñ dabī aahoñ se

aadmī kibr-o-ra.ūnat banā hai paikar

holiyāñ khelte haiñ ḳhūn-e-bashar se mun.im

apne a.amāl pe hotā nahīñ insāñ nādim

aah aflās se Thukrā.ī javānī shabāb

fikr dhuup se larzāñ hai misāl-e-mujrim

qalb-e-mahkūm hai is daur meñ sunsān dayār

ho gayā hai dil-e-majbūr dukhoñ se bezār

kyā na aa.egā kabhī dahr meñ parhalād daur

aag holī kisī roz banegī gulzār

mutma.in aaj na duniyā makīñ hai koī

dahr meñ kibr se ḳhālī na jabīñ hai koī

aaj zardār banā baiThā hai hiranyakashyap

aah is daur meñ dam-sāz nahīñ hai koī

har taraf kibr-o-ra.ūnat ke sulagte haiñ alaav

har taraf ziist ke gulshan meñ hai sho.aloñ jamāv

aaj phir holikā parhalād ko le baiThī hai

phir se is jaltī huī aag ko gulzār banāo

phir badalne haiñ mujhe bekas-o-majbūr ke bhaag

aaj bhī Daste haiñ nādār ko zardār ke naag

jazb-e-ehsās ke sho.aloñ tapish se ik din

zar lanka meñ lagā denā hai ik baar phir aag

hai ye ahbab ko israr ki holi khelun

toD dun aaj to main zohd-o-taqaddus ka fusun

mast ho kar main piyun jam-e-sharab-e-hasti

hama-tan baada-e-ishrat ke nashe mein jhumun

apni sanjida rawish aur udasi chhoDun

gham ke asnam ko but-KHana-e-dil mein toDun

jal uThen gham ke shabistan mein masarrat ke charagh

barbat-e-dil ke har ek tar ko phir se joDun

mujh ko bahlaenge kya ahl-e-tarab ke naghme

aur tyauhaar ki rangin KHushi ke lamhe

main ne har naqsh-e-masarrat ko daba rakkha hai

aur dekhe hain hasin daur ke sundar sapne

suni suni nazar aati hai bisat-e-hasti

na kahin shisha-o-saghar na surur-o-masti

chashm-e-muflis mein larazte hue ashkon ke charagh

qalb-e-nadar hai jaise koi ujDi basti

aaj insan ka insan lahu pita hai

aaj tahzib ka sultan yunhi jita hai

dewta jabr pe rawan ke hirasan jaise

daman-e-arman ko nadar yunhi sita hai

aaj insan hua makr-o-dagha ka daftar

qalb-e-zardar hai ehsas-e-KHudi ka KHugar

be-KHabar ho ke gharibon ki dabi aahon se

aadmi kibr-o-raunat ka bana hai paikar

holiyan khelte hain KHun-e-bashar se munim

apne aamal pe hota nahin insan nadim

aah aflas se Thukrai jawani ka shabab

fikr ki dhup se larzan hai misal-e-mujrim

qalb-e-mahkum hai is daur mein sunsan dayar

ho gaya hai dil-e-majbur dukhon se bezar

kya na aaega kabhi dahr mein parhalad ka daur

aag holi ki kisi roz banegi gulzar

mutmain aaj na duniya ka makin hai koi

dahr mein kibr se KHali na jabin hai koi

aaj zardar bana baiTha hai hiranyakashyap

aah is daur mein dam-saz nahin hai koi

har taraf kibr-o-raunat ke sulagte hain alaw

har taraf zist ke gulshan mein hai shoalon ka jamaw

aaj phir holika parhalad ko le baiThi hai

phir se is jalti hui aag ko gulzar banao

phir badalne hain mujhe bekas-o-majbur ke bhag

aaj bhi Daste hain nadar ko zardar ke nag

jazb-e-ehsas ke shoalon ki tapish se ek din

zar ki lanka mein laga dena hai ek bar phir aag

Source :
  • Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 76)
  • Author : Kanwal Dibaivi
  • Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now