Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

kahīñ paḌe na mohabbat maar holī meñ

adā se prem karo dil se pyaar holī meñ

gale meñ Daal do bāñhoñ haar holī meñ

utāro ek baras ḳhumār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

lagā ke aag baḌhī aage raat jogan

na.e libās meñ aa.ī hai sub.h mālan

nazar nazar hai kuñvārī adā adā kamsin

haiñ rañg rañg se sab rañg-bār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

havā har ek ko chal phir ke gudgudātī hai

nahīñ jo hañste unheñ chheḌ kar hañsātī hai

hayā guloñ ko to kaliyoñ ko sharm aatī hai

baḌhāo baḌh ke chaman vaqār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

ye kis ne rañg bharā har kalī pyālī meñ

gulāl rakh diyā kis ne guloñ thālī meñ

kahāñ mastī hai mālan meñ aur maalī meñ

yahī haiñ saare chaman pukār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

tumhīñ se phuul chaman ke tumhīñ se phulvārī

sajā.e jaao diloñ ke gulāb kyārī

chalā.e jaao nashīlī nazar se pichkārī

luTā.e jaao barābar bahār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

mile ho baara mahīnoñ dekh-bhāl ke ba.ad

ye din sitāre dikhāte haiñ kitnī chaal ke ba.ad

ye din gayā to phir aa.egā ek saal ke ba.ad

nigāheñ karte chalo chaar yaar holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

burā.ī aaj na aise rahe na vaise rahe

safā.ī dil meñ rahe aaj chāhe jaise rahe

ġhubār dil meñ kisī ke rahe to kaise rahe

abiir uḌtī hai ban kar ġhubār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

hayā meñ Dūbne vaale bhī aaj ubharte haiñ

hasīn shoḳhiyāñ karte hue guzarte haiñ

jo choT se kabhī bachte the choT karte haiñ

hiran bhī khel rahe haiñ shikār holī meñ

milo gale se gale baar baar holī meñ

kahin paDe na mohabbat ki mar holi mein

ada se prem karo dil se pyar holi mein

gale mein Dal do banhon ka haar holi mein

utaro ek baras ka KHumar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

laga ke aag baDhi aage raat ki jogan

nae libas mein aai hai subh ki malan

nazar nazar hai kunwari ada ada kamsin

hain rang rang se sab rang-bar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

hawa har ek ko chal phir ke gudgudati hai

nahin jo hanste unhen chheD kar hansati hai

haya gulon ko to kaliyon ko sharm aati hai

baDhao baDh ke chaman ka waqar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

ye kis ne rang bhara har kali ki pyali mein

gulal rakh diya kis ne gulon ki thaali mein

kahan ki masti hai malan mein aur mali mein

yahi hain sare chaman ki pukar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

tumhin se phul chaman ke tumhin se phulwari

sajae jao dilon ke gulab ki kyari

chalae jao nashili nazar se pichkari

luTae jao barabar bahaar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

mile ho bara mahinon ki dekh-bhaal ke baad

ye din sitare dikhate hain kitni chaal ke baad

ye din gaya to phir aaega ek sal ke baad

nigahen karte chalo chaar yar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

burai aaj na aise rahe na waise rahe

safai dil mein rahe aaj chahe jaise rahe

ghubar dil mein kisi ke rahe to kaise rahe

abir uDti hai ban kar ghubar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

haya mein Dubne wale bhi aaj ubharte hain

hasin shoKHiyan karte hue guzarte hain

jo choT se kabhi bachte the choT karte hain

hiran bhi khel rahe hain shikar holi mein

milo gale se gale bar bar holi mein

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 383)
  • Author : naziir banarsi
  • Publication : Educational Publishing House, Delhi (2014)
  • Edition : 2014

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now