Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

Interesting Fact

سفید وزرد کی لڑائی

judā na ham se ho ai ḳhush-jamāl holī meñ

ki yaar phirte haiñ yāroñ ke taal holī meñ

har ek aish se haigā bahāl holī meñ

bahār aur kuchh ab ke hai saal holī meñ

mazā hai sair hai har kamāl holī meñ

sabhoñ ke aish ko phāgun ye mahīna hai

safed-o-zard meñ lekin kamāl kiina hai

talā zard kane sar-basar ḳhazīna hai

safed paas faqat siim dafīna hai

har ek dil meñ hai rustam-o-zāl holī meñ

kahā safed se āḳhir ko zard ne ye payām

ki ai safed ab chhoḌ de jahāñ maqām

maiñ aayā ab to mirā band-o-bast hogā tamām

mujh se aan ke mil chhoḌ apnī zid kalām

vagarna khīñgā infi.āl holī meñ

milegā mujh se to maiñ tujh ko phir baḌhā.uñgā

banā ke aap paas apne le biThāuñgā

kahā safed ne maiñ mutlaqan na ā.uñgā

tujhī ko baad ka.ī din ke maiñ bhigā.ungā

apnā dekhiyo kyā hogā haal holī meñ

ye sun ke taish meñ aa zard sipah-sālār

chaḌh aaya fauj ko le kar safed par yak-bār

udhar safed bhī laḌne ko ho ke aayā savār

saf-e-muqābla donoñ jab huiiñ tayyār

huā karaḳht javāb-o-savāl holī meñ

milā idhar se safed aur udhar se zard bahār

ghaTā.eñ rañg-ba-rañg faujoñ jhukīñ sarshār

pakhāleñ mashkeñ chhuTīñ rañg key paḌī pauchhār

aur chaar taraf se pichkāriyoñ key maarā maarā

uḌā zamīñ se zamāñ tak gulāl holī meñ

yahāñ to donoñ meñ aapas meñ ho rahī ye jañg

udhar se aayā jo ik shoḳh bā-ruḳh-e-gul-rañg

hazāroñ nāznīñ māshūq aur us ke sañg

nashe meñ mast khulī zulf joḌe rañg-ba-rañg

kahā ki pūchho to kyā hai ye haal holī meñ

kahā kisī ne ki ai bādshāh-e-mah-rū yaañ

safed-o-zard ye aapas meñ laḌ rahe haiñ yahāñ

ye sun ke aap vo donoñ ke aa gayā darmiyāñ

idhar se thāñbā use aur udhar us ko ki haañ

tum is qadar na karo iḳhtilāl holī meñ

kahā tumhārī ḳhusūmat mājrā hai kyā

kahā safed ne nāhaq ye zard hai laḌtā

ye sun ke us ne vahīñ apnā ik mañgā joḌā

phir apne haath se joḌe ko chhiḌakvāñ rañvā

kahā ki donoñ raho shāmil-e-hāl holī meñ

phir apne tan meñ jo pahnā vo ḳhil.at-e-rañgīñ

sabhoñ ko hukm kiyā tum bhī pahno ab yuuñ hiiñ

hazāroñ laḌkoñ ne pahne vo joḌne phir vūñhīñ

pukārī ḳhalq ki insāf chāhiye yūñhīñ

huā phir aur husn-o-jamāl holī meñ

miyāñ maiñ kyā kahūñ phir is maze Thahrī bahār

jidhar ko aañkh uThā kar nazar karo ik baar

hazāroñ baaġh ravāñ haiñ karoḌoñ haiñ gulzār

chaman chaman paḌe phirte haiñ sarv gul ruḳhsār

ajab bahār ke haiñ naunihāl holī meñ

jo nahar husn hai mauj maar chaltī hai

alam liye hue aage bahār chaltī hai

agāḌī mast saf-e-gul-ezār chaltī hai

pachhāḌī āshiqoñ sab qatār chaltī hai

bhuul ke dil meñ ḳhushī ḳhayāl holī meñ

gulāl abiir se kitne bhare haiñ chaupā.e

tamām hāthoñ meñ gaḌve bhī rañg ke laa.e

koī kahe hai kisī se ki ham bhī lo aa.e

to us se kahtā vo hans kar ki aa mire jaa.e

hañsī ḳhushī hai qāl-o-maqāl holī meñ

isī bahār se gokul puure meñ pohñche

aur manDī naa.ī aur sayyad ḳhaañ manDī se

sab ālam-ganj meñ shāh-ganj-o-tāj-ganj phire

haiñ shahar meñ nahīñ aur gird shahar ke rahte

huā hujūm bahar kamāl holī meñ

sabhoñ ko le ke kanārī bazār meñ aa.e

phir motī kaTre palThī ke log sab dhaa.e

ki pīpal-manDī-o-pannī galī ke bhī aa.e

jahāñ-tahāñ se ye ghir ghir ke log sab dhaa.e

ki be-navāoñ ke dekheñ jamāl holī meñ

huī jo sab meñ sharīf-o-razīl meñ holī

to pahle rañg key pichkāriyoñ key maar huī

kisī bhar gayā jaama kisī pagḌī bharī

kisī ke muñh pe lagā.ī gulāl key muTThī

to rafta rafta huī phir ye chaal holī meñ

ghaTā.eñ mashk-o-pakhāloñ jhuum kar aa.iiñ

sunahrī bijliyāñ pichkāriyoñ chamkā.īñ

sabā ne rañg bauchhāreñ aa ke barsā.īñ

havā ne aan ke sāñvan jhaḌiyāñ banvā.īñ

lagī barasne ko mashk-o-pakhāl holī meñ

idhar gulāl bādal bhī chhā gayā ghanghor

sadā-e-ra.ad huī har kisī ġhul aur shor

ye laḌke nāznīñ boleñ haiñ kokalā juuñ mor

tamām rañg bauchhār se haiñ shorābor

ajab hai rañg lagī barshgāl holī meñ

lagā ke chauk se aur chār-sū talak dekhā

ki jāgah ek bhī til dharne nahīñ hai zarā

tamām bhiiḌ se har taraf band hai rastā

tis uupar rañg bādal hai is qadar barsā

ki har galī meñ bahā Dholī-khāl holī meñ

'nazīr' holī to hai har nagar meñ achchhī ḳhuub

va-lek ḳhatm huā āgare pe ye uslūb

kahāñ haiñ aise sanam aur kahāñ haiñ ye mahbūb

jinhoñ ke dekhe se āshiq hove taaza qulūb

tirī nirālī hai yaañ chāl-Dhāl holī meñ

juda na hum se ho ai KHush-jamal holi mein

ki yar phirte hain yaron ke tal holi mein

har ek aish se haiga bahaal holi mein

bahaar aur kuchh ab ke hai sal holi mein

maza hai sair hai har su kamal holi mein

sabhon ke aish ko phagun ka ye mahina hai

safed-o-zard mein lekin kamal kina hai

tala ka zard kane sar-basar KHazina hai

safed pas faqat sim ka dafina hai

har ek dil mein hai rustam-o-zal holi mein

kaha safed se aaKHir ko zard ne ye payam

ki ai safed tu ab chhoD de jahan ka maqam

main aaya ab to mera band-o-bast hoga tamam

tu mujh se aan ke mil chhoD apni zid ka kalam

wagarna khinga tu infial holi mein

milega mujh se to main tujh ko phir baDhaunga

bana ke aap sa pas apne le biThaunga

kaha safed ne main mutlaqan na aaunga

tujhi ko baad kai din ke main bhigaunga

tu apna dekhiyo kya hoga haal holi mein

ye sun ke taish mein aa zard ka sipah-salar

chaDh aaya fauj ko le kar safed par yak-bar

udhar safed bhi laDne ko ho ke aaya sawar

saf-e-muqabla donon ki jab huin tayyar

hua karaKHt jawab-o-sawal holi mein

mila idhar se safed aur udhar se zard bahaar

ghaTaen rang-ba-rang faujon ki jhukin sarshaar

pakhaalen mashken chhuTin rang key paDi pauchhaar

aur chaar taraf se pichkariyon key mara mara

uDa zamin se zaman tak gulal holi mein

yahan to donon mein aapas mein ho rahi ye jang

udhar se aaya jo ek shoKH ba-ruKH-e-gul-rang

hazaron naznin mashuq aur us ke sang

nashe mein mast khuli zulf joDe rang-ba-rang

kaha ki puchho to kya hai ye haal holi mein

kaha kisi ne ki ai baadshah-e-mah-ru yan

safed-o-zard ye aapas mein laD rahe hain yahan

ye sun ke aap wo donon ke aa gaya darmiyan

idhar se thanba use aur udhar us ko ki han

tum is qadar na karo iKHtilal holi mein

kaha tumhaari KHusumat ka majra hai kya

kaha safed ne nahaq ye zard hai laDta

ye sun ke us ne wahin apna ek manga joDa

phir apne hath se joDe ko chhiDakwan ranwa

kaha ki donon raho shamil-e-haal holi mein

phir apne tan mein jo pahna wo KHilat-e-rangin

sabhon ko hukm kiya tum bhi pahno ab yun hin

hazaron laDkon ne pahne wo joDne phir wunhin

pukari KHalq ki insaf chahiye yunhin

hua phir aur hi husn-o-jamal holi mein

miyan main kya kahun phir is maze ki Thahri bahaar

jidhar ko aankh uTha kar nazar karo ek bar

hazaron bagh rawan hain karoDon hain gulzar

chaman chaman paDe phirte hain sarw gul ruKHsar

ajab bahaar ke hain naunihaal holi mein

jo nahar husn ki hai mauj mar chalti hai

alam liye hue aage bahaar chalti hai

agaDi mast saf-e-gul-ezar chalti hai

pachhaDi aashiqon ki sab qatar chalti hai

bhul ke dil mein KHushi ka KHayal holi mein

gulal abir se kitne bhare hain chaupae

tamam hathon mein gaDwe bhi rang ke lae

koi kahe hai kisi se ki hum bhi lo aae

to us se kahta wo hans kar ki aa mere jae

hansi KHushi ka hai qal-o-maqal holi mein

isi bahaar se gokul pure mein ja pohnche

aur manDi nai ki aur sayyad KHan ki manDi se

sab aalam-ganj mein shah-ganj-o-taj-ganj phire

hain shahar mein nahin aur gird shahar ke rahte

hua hujum ka bahar kamal holi mein

sabhon ko le ke kanari bazar mein aae

phir moti kaTre palThi ke log sab dhae

ki pipal-manDi-o-panni gali ke bhi aae

jahan-tahan se ye ghir ghir ke log sab dhae

ki be-nawaon ke dekhen jamal holi mein

hui jo sab mein sharif-o-razil mein holi

to pahle rang key pichkariyon key mar hui

kisi ka bhar gaya jama kisi ki pagDi bhari

kisi ke munh pe lagai gulal key muTThi

to rafta rafta hui phir ye chaal holi mein

ghaTaen mashk-o-pakhaalon ki jhum kar aain

sunahri bijliyan pichkariyon ki chamkain

saba ne rang ki bauchhaaren aa ke barsain

hawa ne aan ke sanwan ki jhaDiyan banwain

lagi barasne ko mashk-o-pakhaal holi mein

idhar gulal ka baadal bhi chha gaya ghanghor

sada-e-rad hui har kisi ka ghul aur shor

ye laDke naznin bolen hain kokala jun mor

tamam rang ki bauchhaar se hain shorabor

ajab hai rang lagi barshgal holi mein

laga ke chauk se aur chaar-su talak dekha

ki jagah ek bhi til dharne ki nahin hai zara

tamam bhiD se har taraf band hai rasta

tis upar rang ka baadal hai is qadar barsa

ki har gali mein baha Dholi-khaal holi mein

'nazir' holi to hai har nagar mein achchhi KHub

wa-lek KHatm hua aagare pe ye uslub

kahan hain aise sanam aur kahan hain ye mahbub

jinhon ke dekhe se aashiq ka howe taza qulub

teri nirali hai yan chaal-Dhaal holi mein

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now