Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

jab aa.ī holī rañg-bharī sau nāz-o-adā se maTak maTak

aur ghūñghaT ke paT khol diye vo ruup dikhlā chamak chamak

kuchh mukhḌā kartā damak damak kuchh abran kartā jhalak jhalak

jab paañv rakhā ḳhush-vaqtī se tab paa.il baajī jhanak jhanak

kuchh uchhlīñ sunnateñ naaz bharīñ kuchh godeñ aa.iiñ thirak thirak

ye ruup dikhā kar holī ke jab man rasīle Tuk maTke

mañgvā.e thaal gulāloñ ke bhar Daale rañgoñ se maTke

phir saañg bahut tayyār hue aur ThāTh ḳhushī ke jhur maTke

ġhul shor hue ḳhush-hālī ke aur nāchne gaane ke khaTke

mirdañgeñ bājeñ taal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak

poshāk-e-chhiḌakvāñ se har tayyārī rañgīñ-poshoñ

aur bhīgī jāgah rañgoñ se kar kunj galī aur kūchoñ

har jāgah zard libāsoñ se huī zīnat sab āġhoshoñ

sau aish-o-tarab dhueñ meñ aur mahfil meñ mai-noshoñ

mai niklī jaam gulābī kuchh lahak lahak kuchh chhalak chhalak

har chaar taraf ḳhush-vaqtī se daf baaje rañg aur rañg hoī

kuchh dhūmeñ farhat ishrat kuchh aish ḳhushī ke rañg hue

dil shaad hue ḳhush-hālī se aur ishrat ke sau Dhañg hue

ye jhamkī rañgat holī jo dekhne vaale dañg hue

mahbūb parī-rū bhī nikle kuchh jhijak jhijak kuchh ThiThak ThiThak

jab ḳhūbāñ aa.e rañg bhare phir kyā kyā holī jhamak uThī

kuchh husn jhamkeñ naaz bharīñ kuchh shoḳhī naaz adāoñ

sab chūmne vaale gird dukhḌe nazāra karte hañsī-ḳhushī

mahbūb nashe key ḳhūbī meñ phir āshiq uupar ghaḌī ghaḌī

haiñ rañg chhiḌakte surḳhī ke kuchh lapak lapak kuchh jhapak jhapak

hai dhuum ḳhushī har jānib aur kasrat hai ḳhush-vaqtī

haiñ charche hote farhat ke aur ishrat bhī dhuum machī

ḳhūbāñ ke rañgīñ chehroñ par har aan nigāheñ haiñ laḌtī

mahbūb bhigo.eñ āshiq ko aur āshiq hans kar un ko bhī

ḳhush ho kar un ko bhigoveñ haiñ kuchh aTak aTak kuchh humak humak

vo shoḳh rañgīlā jab aayā yaañ holī kar tayyārī

poshāk sunahrī zeb-e-badan aur haath chamaktī pichkārī

rañg chhiḌakne se kyā kyā us shoḳh ne har-dam ayyārī

ham ne bhī 'nazīr' us chanchal ko phir ḳhuub bhigoyā har baarī

phir kyā kyā rañg bahe us dam kuchh Dhalak Dhalak kuchh chipak chipak

jab aai holi rang-bhari sau naz-o-ada se maTak maTak

aur ghunghaT ke paT khol diye wo rup dikhla chamak chamak

kuchh mukhDa karta damak damak kuchh abran karta jhalak jhalak

jab panw rakha KHush-waqti se tab pail baji jhanak jhanak

kuchh uchhlin sunnaten naz bharin kuchh goden aain thirak thirak

ye rup dikha kar holi ke jab man rasile Tuk maTke

mangwae thaal gulalon ke bhar Dale rangon se maTke

phir sang bahut tayyar hue aur ThaTh KHushi ke jhur maTke

ghul shor hue KHush-haali ke aur nachne gane ke khaTke

mirdangen bajen tal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak

poshak-e-chhiDakwan se har ja tayyari rangin-poshon ki

aur bhigi jagah rangon se kar kunj gali aur kuchon ki

har jagah zard libason se hui zinat sab aaghoshon ki

sau aish-o-tarab ki dhuen mein aur mahfil mein mai-noshon ki

mai nikli jam gulabi kuchh lahak lahak kuchh chhalak chhalak

har chaar taraf KHush-waqti se daf baje rang aur rang hoi

kuchh dhumen farhat ishrat ki kuchh aish KHushi ke rang hue

dil shad hue KHush-haali se aur ishrat ke sau Dhang hue

ye jhamki rangat holi ki jo dekhne wale dang hue

mahbub pari-ru bhi nikle kuchh jhijak jhijak kuchh ThiThak ThiThak

jab KHuban aae rang bhare phir kya kya holi jhamak uThi

kuchh husn ki jhamken naz bharin kuchh shoKHi naz adaon ki

sab chumne wale gird dukhDe nazara karte hansi-KHushi

mahbub nashe key KHubi mein phir aashiq upar ghaDi ghaDi

hain rang chhiDakte surKHi ke kuchh lapak lapak kuchh jhapak jhapak

hai dhum KHushi ki har jaanib aur kasrat hai KHush-waqti ki

hain charche hote farhat ke aur ishrat ki bhi dhum machi

KHuban ke rangin chehron par har aan nigahen hain laDti

mahbub bhigoen aashiq ko aur aashiq hans kar un ko bhi

KHush ho kar un ko bhigowen hain kuchh aTak aTak kuchh humak humak

wo shoKH rangila jab aaya yan holi ki kar tayyari

poshak sunahri zeb-e-badan aur hath chamakti pichkari

ki rang chhiDakne se kya kya us shoKH ne har-dam ayyari

hum ne bhi 'nazir' us chanchal ko phir KHub bhigoya har bari

phir kya kya rang bahe us dam kuchh Dhalak Dhalak kuchh chipak chipak

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now