Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

ham se nazar milā.iye holī roz hai

tīr-e-nazar chalā.iye holī roz hai

baḌhiyā sharāb lā.iye holī roz hai

ḳhud pīji.e pilā.iye holī roz hai

parda zarā uThā.iye holī roz hai

be-ḳhud hameñ banā.iye holī roz hai

sanjīda kyuuñ hue mirī sūrat ko dekh kar

sau baar muskurā.iye holī roz hai

yuuñ to tamām umr satāyā hai aap ne

lillāh na ab satā.iye holī roz hai

bachche galī meñ baiThe haiñ pichkāriyāñ liye

bach bach ke aap jā.iye holī roz hai

duniyā ye jāntī hai ġhazal-go 'nahīf' haiñ

un ġhazal sunā.iye holī roz hai

hum se nazar milaiye holi ka roz hai

tir-e-nazar chalaiye holi ka roz hai

baDhiya sharab laiye holi ka roz hai

KHud pijie pilaiye holi ka roz hai

parda zara uThaiye holi ka roz hai

be-KHud hamein banaiye holi ka roz hai

sanjida kyun hue meri surat ko dekh kar

sau bar muskuraiye holi ka roz hai

yun to tamam umr sataya hai aap ne

lillah na ab sataiye holi ka roz hai

bachche gali mein baiThe hain pichkariyan liye

bach bach ke aap jaiye holi ka roz hai

duniya ye jaanti hai ghazal-go 'nahif' hain

un ki ghazal sunaiye holi ka roz hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now