shikast
apne siine se lagā.e hue ummīd kī laash
muddatoñ ziist ko nāshād kiyā hai maiñ ne
tū ne to ek hī sadme se kyā thā do-chār
dil ko har tarah se barbād kiyā hai maiñ ne
jab bhī rāhoñ meñ nazar aa.e harīrī malbūs
sard aahoñ meñ tujhe yaad kiyā hai maiñ ne
aur ab jab ki mirī ruuh kī pahnā.ī meñ
ek sunsān sī maġhmūm ghaTā chhā.ī hai
tū damakte hue aariz kī shuā.eñ le kar
gul-shuda sham.eñ jalāne ko chalī aa.ī hai
merī mahbūb ye hañgāma-e-tajdīd-e-vafā
merī afsurda javānī ke liye raas nahīñ
maiñ ne jo phuul chune the tire qadmoñ ke liye
un kā dhundlā sā tasavvur bhī mire paas nahīñ
ek yaḳh-basta udāsī hai dil o jaañ pe muhīt
ab mirī ruuh meñ baaqī hai na umiid na josh
rah gayā dab ke girāñ-bār salāsil ke tale
merī darmāñda javānī kī umañgoñ kā ḳharosh
regzāroñ meñ bagūloñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
sāya-e-abr-e-gurezāñ se mujhe kyā lenā
bujh chuke haiñ mire siine meñ mohabbat ke kañval
ab tire husn-e-pashīmāñ se mujhe kyā lenā
tere aariz pe ye Dhalke hue sīmīñ aañsū
merī afsurdagi-e-ġham kā mudāvā to nahīñ
terī mahbūb nigāhoñ kā payām-e-tajdīd
ik talāfī hī sahī merī tamannā to nahīñ
apne sine se lagae hue ummid ki lash
muddaton zist ko nashad kiya hai main ne
tu ne to ek hi sadme se kya tha do-chaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne
jab bhi rahon mein nazar aae hariri malbus
sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne
aur ab jab ki meri ruh ki pahnai mein
ek sunsan si maghmum ghaTa chhai hai
tu damakte hue aariz ki shuaen le kar
gul-shuda shamen jalane ko chali aai hai
meri mahbub ye hangama-e-tajdid-e-wafa
meri afsurda jawani ke liye ras nahin
main ne jo phul chune the tere qadmon ke liye
un ka dhundla sa tasawwur bhi mere pas nahin
ek yaKH-basta udasi hai dil o jaan pe muhit
ab meri ruh mein baqi hai na umid na josh
rah gaya dab ke giran-bar salasil ke tale
meri darmanda jawani ki umangon ka KHarosh
regzaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin
saya-e-abr-e-gurezan se mujhe kya lena
bujh chuke hain mere sine mein mohabbat ke kanwal
ab tere husn-e-pashiman se mujhe kya lena
tere aariz pe ye Dhalke hue simin aansu
meri afsurdagi-e-gham ka mudawa to nahin
teri mahbub nigahon ka payam-e-tajdid
ek talafi hi sahi meri tamanna to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.