walid ki wafat par
Interesting Fact
Emotional poem by Nida Fazli on his father's death.
tumhārī qabr par
maiñ fātiha paḌhne nahīñ aayā
mujhe mālūm thā
tum mar nahīñ sakte
tumhārī maut kī sachchī ḳhabar jis ne uḌaa.ī thī
vo jhūTā thā
vo tum kab the
koī sūkhā huā patta havā se mil ke TuuTā thā
mirī āñkheñ
tumhāre manzaroñ meñ qaid haiñ ab tak
maiñ jo bhī dekhtā huuñ
sochtā huuñ
vo vahī hai
jo tumhārī nek-nāmī aur bad-nāmī kī duniyā thī
kahīñ kuchh bhī nahīñ badlā
tumhāre haath merī uñgliyoñ meñ saañs lete haiñ
maiñ likhne ke liye
jab bhī qalam kāġhaz uThātā huuñ
tumheñ baiThā huā maiñ apnī hī kursī meñ paatā huuñ
badan meñ mere jitnā bhī lahū hai
vo tumhārī
laġhzishoñ nākāmiyoñ ke saath bahtā hai
mirī āvāz meñ chhup kar
tumhārā zehn rahtā hai
mirī bīmāriyoñ meñ tum
mirī lāchāriyoñ meñ tum
tumhārī qabr par jis ne tumhārā naam likhā hai
vo jhūTā hai
tumhārī qabr meñ maiñ dafn huuñ
tum mujh meñ zinda ho
kabhī fursat mile to fātiha paḌhne chale aanā
tumhaari qabr par
main fatiha paDhne nahin aaya
mujhe malum tha
tum mar nahin sakte
tumhaari maut ki sachchi KHabar jis ne uDai thi
wo jhuTa tha
wo tum kab the
koi sukha hua patta hawa se mil ke TuTa tha
meri aankhen
tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak
main jo bhi dekhta hun
sochta hun
wo wahi hai
jo tumhaari nek-nami aur bad-nami ki duniya thi
kahin kuchh bhi nahin badla
tumhaare hath meri ungliyon mein sans lete hain
main likhne ke liye
jab bhi qalam kaghaz uThata hun
tumhein baiTha hua main apni hi kursi mein pata hun
badan mein mere jitna bhi lahu hai
wo tumhaari
laghzishon nakaamiyon ke sath bahta hai
meri aawaz mein chhup kar
tumhaara zehn rahta hai
meri bimariyon mein tum
meri lachaariyon mein tum
tumhaari qabr par jis ne tumhaara nam likha hai
wo jhuTa hai
tumhaari qabr mein main dafn hun
tum mujh mein zinda ho
kabhi fursat mile to fatiha paDhne chale aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.