marhum aur mahrum
mirī hayāt ye hai aur ye tumhārī qazā
ziyāda kis se kahūñ aur kis ko kam bolo
tum ahl-e-ḳhāna rahe aur maiñ yatīm huā
tumhārā dard baḌā hai yā merā ġham bolo
tumhārā daur thā ghar meñ bahār hañstī thī
abhī to dar pe faqat ranj-o-ġham kī dastak hai
tumhāre saath kā mausam baḌā hasīn rahā
tumhāre baad kā mausam baḌā bhayānak hai
hazāroñ qarz the mujh par tumhārī ulfat ke
mujhe vo qarz chukāne kā mauqa to dete
tumhārā ḳhuun mire jism meñ machaltā rahā
zarā se qatre bahāne kā mauqa to dete
baḌe sukūn se tum so ga.e vahāñ jā kar
ye kaise niiñd tumheñ aa ga.ī na.e ghar meñ
har ek shab maiñ faqat karvaTeñ badaltā huuñ
tumhārī qabr ke kañkar hoñ jaise bistar meñ
maiñ bojh kāñdhoñ pe aise uThā ke chaltā huuñ
tumhārā jaise janāza uThā ke chaltā thā
yahāñ pe merī pareshānī sirf merī hai
vahāñ koī na koī kāñdhā to badaltā thā
tumhārī sham-e-tamannā bas ek raat bujhī
charāġh merī tavaqqo.a ke roz bujhte haiñ
maiñ saañs luuñ bhī to kaise ki merī sāñsoñ meñ
tumhārī Dūbtī sāñsoñ ke tiir chubhte haiñ
maiñ jab bhī chhūtā huuñ apne badan kī miTTī ko
to lams phir usī ThanDe badan kā hotā hai
libās roz badaltā huuñ maiñ bhī sab kī tarah
magar ḳhayāl tumhāre kafan kā hotā hai
bahut tavīl kahānī hai merī hastī kī
tumhārī maut to ik muḳhtasar fasāna hai
vo jis galī se janāza tumhārā niklā thā
usī galī se mirā roz aanā jaanā hai
maiñ koī raah huuñ tum raah dekhne vaale
ki muntazir to marā par na intizār marā
tumhārī maut mirī zindagī se behtar hai
tum ek baar mare maiñ to baar baar marā
meri hayat ye hai aur ye tumhaari qaza
ziyaada kis se kahun aur kis ko kam bolo
tum ahl-e-KHana rahe aur main yatim hua
tumhaara dard baDa hai ya mera gham bolo
tumhaara daur tha ghar mein bahaar hansti thi
abhi to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai
tumhaare sath ka mausam baDa hasin raha
tumhaare baad ka mausam baDa bhayanak hai
hazaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke
mujhe wo qarz chukane ka mauqa to dete
tumhaara KHun mere jism mein machalta raha
zara se qatre bahane ka mauqa to dete
baDe sukun se tum so gae wahan ja kar
ye kaise nind tumhein aa gai nae ghar mein
har ek shab main faqat karwaTen badalta hun
tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar mein
main bojh kandhon pe aise uTha ke chalta hun
tumhaara jaise janaza uTha ke chalta tha
yahan pe meri pareshani sirf meri hai
wahan koi na koi kandha to badalta tha
tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi
charagh meri tawaqqoa ke roz bujhte hain
main sans lun bhi to kaise ki meri sanson mein
tumhaari Dubti sanson ke tir chubhte hain
main jab bhi chhuta hun apne badan ki miTTi ko
to lams phir usi ThanDe badan ka hota hai
libas roz badalta hun main bhi sab ki tarah
magar KHayal tumhaare kafan ka hota hai
bahut tawil kahani hai meri hasti ki
tumhaari maut to ek muKHtasar fasana hai
wo jis gali se janaza tumhaara nikla tha
usi gali se mera roz aana jaana hai
main koi rah hun tum rah dekhne wale
ki muntazir to mara par na intizar mara
tumhaari maut meri zindagi se behtar hai
tum ek bar mare main to bar bar mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.