Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sangam

Bazmi Bharti

sangam

Bazmi Bharti

kaliyoñ armān haiñ ham sab

ġhunchoñ muskān haiñ ham sab

ham ne guloñ ko ḳhushbū hai

gulzāroñ jaan haiñ ham sab

chāñd duniyā se bhī aage

ik din uḌ kar ham jā.eñge

siine par ab nīl-gagan ke

parcham apnā lahrā.eñge

masjid mandir girjā vaale

dharm devī ke rakhvāle

nafrat apnī had tak rakkheñ

ham haiñ ulfat ke matvāle

dhartī ke ham chāñd sitāre

kundan aur pukhrāj ke TukḌe

sūraj banñe vaale zarre

duniyā bhar ke saare bachche

sangam gañgā jamunā haiñ

raam mohammad D’souza haiñ

kaliyon ka arman hain hum sab

ghunchon ki muskan hain hum sab

hum ne gulon ko KHushbu di hai

gulzaron ki jaan hain hum sab

chand ki duniya se bhi aage

ek din uD kar hum jaenge

sine par ab nil-gagan ke

parcham apna lahraenge

masjid mandir girja wale

dharm ki dewi ke rakhwale

nafrat apni had tak rakkhen

hum hain ulfat ke matwale

dharti ke hum chand sitare

kundan aur pukhraj ke TukDe

suraj banne wale zarre

duniya bhar ke sare bachche

sangam ganga jamuna ka hain

ram mohammad D’souza hain

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now