jangal
jangal kitnā achchhā lagtā
hariyālī kā sapnā lagtā
jangal se hai jīvan dhārā
jangal hai duniyā kā sahārā
jangal lakḌī davā.eñ detā
taaza taaza havā.eñ detā
suthrī saaf fazā bhī detā
jangal bādal paanī detā
ban meñ pakshī pashū bhī palte
āzādī se phirte chalte
jangal meñ haiñ jāmun mahuvā
tendū amalī ḳhair karondā
shīsham saagī gondā semal
satkaT bargad aam aur pīpal
peḌoñ se hariyālī miltī
jīvan ko ḳhush-hālī miltī
aao mil kar peḌ lagā.eñ
peḌoñ se hariyālī laa.eñ
jangal kitna achchha lagta
hariyali ka sapna lagta
jangal se hai jiwan dhaara
jangal hai duniya ka sahaara
jangal lakDi dawaen deta
taza taza hawaen deta
suthri saf faza bhi deta
jangal baadal pani deta
ban mein pakshi pashu bhi palte
aazadi se phirte chalte
jangal mein hain jamun mahuwa
tendu amali KHair karonda
shisham sagi gonda semal
satkaT bargad aam aur pipal
peDon se hariyali milti
jiwan ko KHush-haali milti
aao mil kar peD lagaen
peDon se hariyali laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.