Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm

ilm hai insāñ tahzīb-o-tamaddun ke liye

ye nahīñ insānī qadroñ ke talavvun ke liye

ilm hai aapas meñ iḳhlās-o-uḳhuvvat ke liye

ye nahīñ auroñ ke nuqsān-o-halākat ke liye

ilm hai insān bahbūd-o-baqā ke vāste

ye nahīñ insāniyat ibtilā ke vāste

ilm hai insān ḳhud-āgahī ke vāste

aur insānoñ meñ bhā.ī-chārgī ke vāste

ilm se raushan-ḳhayālī aatī hai insān meñ

puḳhtagī aḳhlāq meñ to tāzgī īmān meñ

ilm baḌhtā hai koī us ko ghaTā saktā nahīñ

ye vo daulat hai jise koī churā saktā nahīñ

ilm ko phailā.iye achchhe maqāsid ke liye

taaki duniyā taraqqī nishāna baḌh sake

ilm chaḌhtā āftāb aur ilm hai bād-e-murād

ilm zindabād is āgahī pā.inda-bād

ilm hai insan ki tahzib-o-tamaddun ke liye

ye nahin insani qadron ke talawwun ke liye

ilm hai aapas mein iKHlas-o-uKHuwwat ke liye

ye nahin auron ke nuqsan-o-halakat ke liye

ilm hai insan ki bahbud-o-baqa ke waste

ye nahin insaniyat ki ibtila ke waste

ilm hai insan ki KHud-agahi ke waste

aur insanon mein bhai-chaargi ke waste

ilm se raushan-KHayali aati hai insan mein

puKHtagi aKHlaq mein to tazgi iman mein

ilm baDhta hai koi us ko ghaTa sakta nahin

ye wo daulat hai jise koi chura sakta nahin

ilm ko phailaiye achchhe maqasid ke liye

taki duniya ki taraqqi ka nishana baDh sake

ilm chaDhta aaftab aur ilm hai baad-e-murad

ilm zindabaad is ki aagahi painda-baad

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now