Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majburiyan

Asrarul Haq Majaz

majburiyan

Asrarul Haq Majaz

maiñ aa.heñ bhar nahīñ saktā ki naġhme nahīñ saktā

sakūñ lekin mire dil ko mayassar aa nahīñ saktā

koī naġhme to kyā ab mujh se merā saaz bhī le le

jo gaanā chāhtā huuñ aah vo maiñ nahīñ saktā

matā-e-soz-o-sāz-e-zindagī paimāna o barbat

maiñ ḳhud ko in khilaunoñ se bhī ab bahlā nahīñ saktā

vo bādal sar pe chhā.e haiñ ki sar se haT nahīñ sakte

milā hai dard vo dil ko ki dil se nahīñ saktā

havas-kārī hai jurm-e-ḳhud-kushī merī sharī.at meñ

ye hadd-e-āḳhirī hai maiñ yahāñ tak nahīñ saktā

na tūfāñ rok sakte haiñ na āñdhī rok saktī hai

magar phir bhī maiñ us qasr-e-hasīñ tak nahīñ saktā

vo mujh ko chāhtī hai aur mujh tak aa nahīñ saktī

maiñ us ko pūjtā huuñ aur us ko nahīñ saktā

ye majbūrī majbūrī ye lāchārī lāchārī

ki us ke giit bhī dil khol kar maiñ nahīñ saktā

zabāñ par be-ḳhudī meñ naam us aa jaatā hai

agar pūchhe koī ye kaun hai batlā nahīñ saktā

kahāñ tak qissa-e-ālām-e-furqat muḳhtasar ye hai

yahāñ vo aa nahīñ saktī vahāñ maiñ nahīñ saktā

hadeñ vo khīñch rakkhī haiñ haram ke pāsbānoñ ne

ki bin mujrim bane paiġhām bhī pahuñchā nahīñ saktā

main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta

sakun lekin mere dil ko mayassar aa nahin sakta

koi naghme to kya ab mujh se mera saz bhi le le

jo gana chahta hun aah wo main ga nahin sakta

mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat

main KHud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta

wo baadal sar pe chhae hain ki sar se haT nahin sakte

mila hai dard wo dil ko ki dil se ja nahin sakta

hawas-kari hai jurm-e-KHud-kushi meri shariat mein

ye hadd-e-aKHiri hai main yahan tak ja nahin sakta

na tufan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai

magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta

wo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti

main us ko pujta hun aur us ko pa nahin sakta

ye majburi si majburi ye lachaari si lachaari

ki us ke git bhi dil khol kar main ga nahin sakta

zaban par be-KHudi mein nam us ka aa hi jata hai

agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta

kahan tak qissa-e-alam-e-furqat muKHtasar ye hai

yahan wo aa nahin sakti wahan main ja nahin sakta

haden wo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne

ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 85)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now