Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qissa ek basant ka

Iftikhar Arif

qissa ek basant ka

Iftikhar Arif

patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm kis ke haath māñjhā kharā thā aur kis

Dor halkī thī

unheñ is se ġharaz kyā peñch paḌte vaqt kin hāthoñ meñ larza aa gayā thā

aur kis kheñch achchhī thii?

havā kis taraf thii, kaun paalī bairī thii?

patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm?

unheñ to bas basant aate apnī apnī Dāñgeñ le ke maidānoñ meñ aanā hai

galī-kūchoñ meñ kāñTī mārnā hai patañgeñ lūTnā hai luuT ke jauhar dikhānā hai

patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm kis ke haath māñjhā kharā thā

aur kis Dor halkī thii?

patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki

Dor halki thi

unhen is se gharaz kya pench paDte waqt kin hathon mein larza aa gaya tha

aur kis ki khench achchhi thi?

hawa kis ki taraf thi, kaun si pali ki bairi thi?

patangen luTne walon ko kya malum?

unhen to bas basant aate hi apni apni Dangen le ke maidanon mein aana hai

gali-kuchon mein kanTi marna hai patangen luTna hai luT ke jauhar dikhana hai

patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha

aur kis ki Dor halki thi?

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

qissa ek basant ka Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now