Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basant aur holi ki bahaar

Ufuq Lakhnavi

basant aur holi ki bahaar

Ufuq Lakhnavi

saaqī kuchh aaj tujh ko ḳhabar hai basant

har bahār pesh-e-nazar hai basant

sarsoñ jo phuul uTThī hai chashm-e-qayās meñ

phūle-phale shāmil haiñ basantī libās meñ

patte jo zard zard haiñ sone ke paat haiñ

sadbarg se talā.ī kiran phuul maat haiñ

haiñ chūḌiyoñ joḌ basantī kalā.ī meñ

ban ke bahār aa.ī hai dast-e-hinā.ī meñ

mastī bhare diloñ umañgeñ na pūchhiye

kyā mantiqeñ haiñ kyā haiñ tarañgeñ na pūchhiye

māthe pe husn-ḳhez hai jalva gulāl

biñdī se auj par hai sitāra jamāl

geñdoñ se mā.il-e-gul-e-bāzī hasīn haiñ

sar ke ubhār par se dupaTTe mahīn haiñ

aks-e-naqāb zīnat-e-ruḳhsār ho gayā

zevar jo siim thā talā-kār ho gayā

sarsoñ ke lahlahāte haiñ khet is bahār meñ

nargis ke phuul phuul uThe lāla-zār meñ

āvāz hai papīhoñ mastī bharī huī

tuutī ke bol sun ke tabī.at harī huī

koyal ke joḌe karte haiñ chuhleñ surūr se

aate haiñ taan uḌāte hue duur duur se

baur aam ke haiñ yuuñ chaman-e-kā.enāt meñ

motī ke jaise guchchhe hoñ zar-kār paat meñ

bheroñ guuñj mast hai har kisht-zār meñ

bansī bajāte kishn hai goyā bahār meñ

kesar kusūm ḳhuub dil-afzā bahār hai

geñdoñ har chaman meñ do-rūya qatār hai

ik aag lagā.ī hai Tesū ne phuul ke

kyā zard zard phuul khile haiñ babūl ke

hai isT devtāo ke mandir saje hue

haiñ zard zard phūloñ se kul dar saje hue

bas dev-jī ke laal jhāñkī ajiib hai

ānand be-hisāb diloñ ko nasīb hai

bansī jaḌāv sone lab se milī huī

dil kalī kalī hai nazar meñ khilī huī

pītāmbar nafīs kamar meñ kasā huā

ḳhushbū se haar phuul mandir basā huā

shānoñ pe bal paḌe hue zulf-e-siyāh ke

rādhā se baar baar ishāre nigāh ke

bāñkī adā.eñ dekh ke dil loT-poT hai

rutkām istirī ke kaleje pe choT hai

kānoñ meñ kunloñ chamak hai jaḌāv se

rādhā lajā.ī jaatī hai chanchal subhāv se

pyārī haath apnī baġhal meñ liye hue

āñkheñ sharāb-e-husn-e-javānī piye hue

dil rādhikā bāda-e-ulfat se chuur hai

kuhnī se Thelne adā zuhūr hai

chupkī khaḌī hai kishn ke ruḳh par nigāh hai

hai pahlū-e-jigar meñ jagah dil meñ raah hai

ulfat bharī jo bansī jānib nazar ga.ī

goyā basant raag dhun mast kar ga.ī

is chhab pe is siñgār pe dil se nisār 'ufuq'

qurbān ek baar nahīñ laakh baar 'ufuq'

ai kishn nāzirīñ ko mubārak basant ho

khelā jo apne vo abad tak basant ho

saqi kuchh aaj tujh ko KHabar hai basant ki

har su bahaar pesh-e-nazar hai basant ki

sarson jo phul uTThi hai chashm-e-qayas mein

phule-phale shamil hain basanti libas mein

patte jo zard zard hain sone ke pat hain

sadbarg se talai kiran phul mat hain

hain chuDiyon ki joD basanti kalai mein

ban ke bahaar aai hai dast-e-hinai mein

masti bhare dilon ki umangen na puchhiye

kya mantiqen hain kya hain tarangen na puchhiye

mathe pe husn-KHez hai jalwa gulal ka

bindi se auj par hai sitara jamal ka

gendon se mail-e-gul-e-bazi hasin hain

sar ke ubhaar par se dupaTTe mahin hain

aks-e-naqab zinat-e-ruKHsar ho gaya

zewar jo sim ka tha tala-kar ho gaya

sarson ke lahlahate hain khet is bahaar mein

nargis ke phul phul uThe lala-zar mein

aawaz hai papihon ki masti bhari hui

tuti ke bol sun ke tabiat hari hui

koyal ke joDe karte hain chuhlen surur se

aate hain tan uDate hue dur dur se

baur aam ke hain yun chaman-e-kaenat mein

moti ke jaise guchchhe hon zar-kar pat mein

bheron ki gunj mast hai har kisht-zar mein

bansi bajate kishn hai goya bahaar mein

kesar kusum ki KHub dil-afza bahaar hai

gendon ki har chaman mein do-ruya qatar hai

ek aag si lagai hai Tesu ne phul ke

kya zard zard phul khile hain babul ke

hai isT dewtao ke mandir saje hue

hain zard zard phulon se kul dar saje hue

bas dew-ji ke lal ki jhanki ajib hai

aanand be-hisab dilon ko nasib hai

bansi jaDaw sone ki lab se mili hui

dil ki kali kali hai nazar mein khili hui

pitambar nafis kamar mein kasa hua

KHushbu se haar phul ki mandir basa hua

shanon pe bal paDe hue zulf-e-siyah ke

radha se bar bar ishaare nigah ke

banki adaen dekh ke dil loT-poT hai

rutkaam istiri ke kaleje pe choT hai

kanon mein kunlon ki chamak hai jaDaw se

radha lajai jati hai chanchal subhaw se

pyari ka hath apni baghal mein liye hue

aankhen sharab-e-husn-e-jawani piye hue

dil radhika ka baada-e-ulfat se chur hai

kuhni se Thelne ki ada ka zuhur hai

chupki khaDi hai kishn ke ruKH par nigah hai

hai pahlu-e-jigar mein jagah dil mein rah hai

ulfat bhari jo bansi ki jaanib nazar gai

goya basant ki rag ki dhun mast kar gai

is chhab pe is singar pe dil se nisar 'ufuq'

qurban ek bar nahin lakh bar 'ufuq'

ai kishn nazirin ko mubarak basant ho

khela jo apne wo abad tak basant ho

Source :
  • Book : Hindustan Hamara-1 (Pg. 256)
  • Author : Jan Nisar Akhtar
  • Publication : B.K. Offset Navin Shahdara Delhi-110032 (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now