pardes ki sham aur dil ka watan
kahte haiñ pardes meñ din guzar jaate haiñ
magar koī ye nahīñ batātā ki rāteñ kaise kaaTī jaatī haiñ
vo lamhe jab chāroñ taraf shor ho
aur tumhāre dil meñ sirf ḳhāmoshī boltī ho
aisī ḳhāmoshī jo kisī zabān meñ nahīñ
sirf āñkhoñ ke kināroñ par Thahrī hotī hai
maiñ roz sub.h jāgtā huuñ
ek aise shahr meñ
jahāñ log hañste haiñ
lekin hañsī dil tak nahīñ jaatī
jahāñ chehre haiñ
magar pahchān kahīñ nahīñ
maiñ bāzāroñ meñ chaltā huuñ
jahāñ har chiiz na.ī hai
magar kuchh bhī apnā nahīñ lagtā
vo zabān jis meñ maiñ boltā huuñ
ḳhud mujh se savāl kartī hai
ki tum kahāñ se aa.e ho
pardes meñ sab kuchh hai
bas maañ ke haath kī roTī nahīñ
baap kā saaya nahīñ
bahn kī muskurāhaT nahīñ
aur vo galī nahīñ
jahāñ dost baiTh kar duniyā ke ḳhvāb bunte the
yahāñ vaqt kā guzarnā bhī bojh hotā hai
ghaḌī kī sūīyāñ jaise chubhtī haiñ
aur calender kā har din
ik na.ī kamī le kar aatā hai
maiñ har shaam
apne vatan ke sūraj ko yaad kartā huuñ
jo shāyad ab bhī usī vaqt utar rahā hogā
jab yahāñ mere kamre kī khiḌkī meñ
ik adhūrā sā ujālā Thahrā hotā hai
phone par maañ kī āvāz aatī hai
ḳhairiyat hai beTā
maiñ hañs kar kahtā huuñ
magar mere javāb aur sach meñ
samundar jitnā fāsla hotā hai
maiñ ḳhvāboñ ke badle
niiñd kho chukā huuñ
dil ke badle shanāḳhtī card le aayā huuñ
aur jazbāt ke badle
tanhā.ī kī qisteñ chukā rahā huuñ
'sāġhar' ab jab bhī apne naam ke aage
kisī na.e mulk kā patā likhtā hai
to dil meñ koī purānī galī
āhista se band ho jaatī hai
aur ik nayā zaḳhm
naqsh ban jaatā hai
pardesī hone kā
pardesī hone kā
kahte hain pardes mein din guzar jate hain
magar koi ye nahin batata ki raaten kaise kaTi jati hain
wo lamhe jab chaaron taraf shor ho
aur tumhaare dil mein sirf KHamoshi bolti ho
aisi KHamoshi jo kisi zaban mein nahin
sirf aankhon ke kinaron par Thahri hoti hai
main roz subh jagta hun
ek aise shahr mein
jahan log hanste hain
lekin hansi dil tak nahin jati
jahan chehre hain
magar pahchan kahin nahin
main bazaron mein chalta hun
jahan har chiz nai hai
magar kuchh bhi apna nahin lagta
wo zaban jis mein main bolta hun
KHud mujh se sawal karti hai
ki tum kahan se aae ho
pardes mein sab kuchh hai
bas man ke hath ki roTi nahin
bap ka saya nahin
bahn ki muskurahaT nahin
aur wo gali nahin
jahan dost baiTh kar duniya ke KHwab bunte the
yahan waqt ka guzarna bhi bojh hota hai
ghaDi ki suiyan jaise chubhti hain
aur calender ka har din
ek nai kami le kar aata hai
main har sham
apne watan ke suraj ko yaad karta hun
jo shayad ab bhi usi waqt utar raha hoga
jab yahan mere kamre ki khiDki mein
ek adhura sa ujala Thahra hota hai
phone par man ki aawaz aati hai
KHairiyat hai beTa
main hans kar kahta hun
magar mere jawab aur sach mein
samundar jitna fasla hota hai
main KHwabon ke badle
nind kho chuka hun
dil ke badle shanaKHti card le aaya hun
aur jazbaat ke badle
tanhai ki qisten chuka raha hun
'saghar' ab jab bhi apne nam ke aage
kisi nae mulk ka pata likhta hai
to dil mein koi purani gali
aahista se band ho jati hai
aur ek naya zaKHm
naqsh ban jata hai
pardesi hone ka
pardesi hone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.