Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

london mein jashn-e-ghaalib

Dilawar Figar

london mein jashn-e-ghaalib

Dilawar Figar

london meñ jashn-e-hazrat-e-'ġhālib' raat thī

tārīḳh-e-shā.erī meñ ye ik vārdāt thī

is jashn meñ sharīk the har mulk ke vafūd

hal ho gayā thā mas.ala-e-vahdat-ul-vajūd

jannat se mīrzā ko jo kankārd le chalā

pur ho gayā safar se jo thā raah meñ ḳhalā

mirzā ke paas box meñ tambākū thī faqat

custam ke afsaroñ ne use samjhā ġhalat

afsar ne passport jo un se talab kiyā

kahne lage ki aap ne ye kyā ġhazab kiyā

sach baat to yahī hai vo ab nek ho ki bad

mulkoñ sarhadoñ ko nahīñ mānte 'asad'

tārīḳh hai fikr na juġhrāfi.e hai

shā.er huuñ maiñ talāsh mujhe qāfiye hai

aam aadmī tarah mirā passport kyuuñ

''maiñ andalīb-e-gulshan-e-nā-āfrīda hūñ''

maiñ kab yahāñ makān banāne ko aayā huuñ

london meñ apnā jashn manāne ko aayā huuñ

añgrez ke qasīde jo likkhe the yaad haiñ

nazmeñ kuchh aur bhī haiñ jo muhtāj-e-dād haiñ

mujh ko numūd-o-nām parvā nahīñ magar

bulvāyā b.b.c ne to pahuñchūñgā vaqt par

'ġhālib' jo restoran meñ pahuñche ba-vaqt-e-shām

baire se ye kahā ki karo merā intizām

mañgvāo vo jo ātish-e-sayyāl paas hai

''is balġhamī mizāj ko garmī raas hai''

stage par jo ho ga.e ab jalva-gar asad

ustād 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad

nāzim mushā.ere ye bolā ki hāzirīn

'ġhālib' ko dekhne ko na aa.eñ tamāsh-bīn

'ġhālib' shaḳhsiyyat meñ mahāsin haiñ be-shumār

ye aadmī valī thā na hotā jo bāda-ḳhvār

ye shaḳhs jis ko vaqt ne būḌhā banāyā hai

ham ne ise barāt dūlhā banāyā hai

biivī se baat kiije na saalī se pūchhiye

'ġhālib' kyā maqām hai haalī se pūchhiye

sehhat se kam nahīñ hai use bahrā-pan rog

bahrā jo is ko kahte haiñ be-bahra haiñ vo log

be-teġh kyuuñ laḌegā ye shā.er jo hai jarī

sau pusht se hai pesha-e-ābā sipah-garī

ye chāhtā hai ghar meñ tirī jalva-gāh ho

''dekho ise jo dīda-e-ibrat nigāh ho''

tahzīb o fan ko rañg-e-muġhal is ne de diyā

urdu ko ek taaj mahal is ne de diyā

is ne zabān-e-'mīr' ko hindī ras diyā

urdu ġhazal ko is ne nayā canvas diyā

'ġhālib' jo apne jashn meñ baiThe haiñ shaan se

in kalām suniye ab in zabān se

'ġhālib' ne tiis ġhazleñ sunā.īñ jo sub.h tak

har sher note kartā rahā munshī-e-falak

taqrīb jab ye ḳhatm huī sub.h ke qarīb

stage ko jo dekhā to ġhā.eb the sab adiib

jalsa meñ muhtamim bhī koī pata na thā

dariyāñ thiiñ gaao takiye the aur shāmiyāna thā

kyā pūchhte ho haal jo 'ġhālib' aaj thā

pocket meñ ek paisa na thā sar pe taaj thā

london mein jashn-e-hazrat-e-'ghaalib' ki raat thi

tariKH-e-shaeri mein ye ek wardat thi

is jashn mein sharik the har mulk ke wafud

hal ho gaya tha masala-e-wahdat-ul-wajud

jannat se mirza ko jo kankard le chala

pur ho gaya safar se jo tha rah mein KHala

mirza ke pas box mein tambaku thi faqat

custam ke afsaron ne use samjha hi ghalat

afsar ne passport jo un se talab kiya

kahne lage ki aap ne ye kya ghazab kiya

sach baat to yahi hai wo ab nek ho ki bad

mulkon ki sarhadon ko nahin mante 'asad'

tariKH ki hai fikr na jughrafie ki hai

shaer hun main talash mujhe qafiye ki hai

aam aadmi ki tarah mera passport kyun

main andalib-e-gulshan-e-na-afrida hun

main kab yahan makan banane ko aaya hun

london mein apna jashn manane ko aaya hun

angrez ke qaside jo likkhe the yaad hain

nazmen kuchh aur bhi hain jo muhtaj-e-dad hain

mujh ko numud-o-nam ki parwa nahin magar

bulwaya bbc ne to pahunchunga waqt par

'ghaalib' jo restoran mein pahunche ba-waqt-e-sham

baire se ye kaha ki karo mera intizam

mangwao wo jo aatish-e-sayyal pas hai

is balghami mizaj ko garmi hi ras hai

stage par jo ho gae ab jalwa-gar asad

ustad 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad

nazim mushaere ka ye bola ki hazirin

'ghaalib' ko dekhne ko na aaen tamash-bin

'ghaalib' ki shaKHsiyyat mein mahasin hain be-shumar

ye aadmi wali tha na hota jo baada-KHwar

ye shaKHs jis ko waqt ne buDha banaya hai

hum ne ise baraat ka dulha banaya hai

biwi se baat kije na sali se puchhiye

'ghaalib' ka kya maqam hai haali se puchhiye

sehhat se kam nahin hai use bahra-pan ka rog

bahra jo is ko kahte hain be-bahra hain wo log

be-tegh kyun laDega ye shaer jo hai jari

sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari

ye chahta hai ghar mein teri jalwa-gah ho

dekho ise jo dida-e-ibrat nigah ho

tahzib o fan ko rang-e-mughal is ne de diya

urdu ko ek taj mahal is ne de diya

is ne zaban-e-'mir' ko hindi ka ras diya

urdu ghazal ko is ne naya canwas diya

'ghaalib' jo apne jashn mein baiThe hain shan se

in ka kalam suniye ab in ki zaban se

'ghaalib' ne tis ghazlen sunain jo subh tak

har sher note karta raha munshi-e-falak

taqrib jab ye KHatm hui subh ke qarib

stage ko jo dekha to ghaeb the sab adib

jalsa mein muhtamim ka bhi koi pata na tha

dariyan thin gao takiye the aur shamiyana tha

kya puchhte ho haal jo 'ghaalib' ka aaj tha

pocket mein ek paisa na tha sar pe taj tha

Source :
  • Book : Feesabilillah (Pg. 147)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now