Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

side-effects

Anwar Masood

side-effects

Anwar Masood

sar-dard meñ golī ye baḌī zūd-asar hai

par thoḌā nuqsān bhī ho saktā hai is se

ho saktī hai paidā koī tabḳhīr sūrat

dil tañg-o-pareshān bhī ho saktā hai is se

ho saktī hai kuchh saql-e-samā.at shikāyat

be-kār koī kaan bhī ho saktā hai is se

mumkin hai ḳharābī koī ho jaa.e jigar meñ

haañ aap ko yarqān bhī ho saktā hai is se

paḌ saktī hai kuchh jild-ḳharāshī zarūrat

ḳhārish kuchh imkān bhī ho saktā hai is se

ho saktī haiñ yādeñ bhī zarā mutā.assir

ma.amūlī nisyān bhī ho saktā hai is se

bīnā.ī ke haq meñ bhī ye golī nahīñ achchhī

diida koī hairān bhī ho saktā hai is se

ho saktā hai lāhaq koī pechīda maraz bhī

gurda koī vīrān bhī ho saktā hai is se

mumkin hai ki ho jaa.e nasha is se zarā

phir aap chālān bhī ho saktā hai is se

sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai

par thoDa sa nuqsan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hai paida koi tabKHir ki surat

dil tang-o-pareshan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hai kuchh saql-e-samaat ki shikayat

be-kar koi kan bhi ho sakta hai is se

mumkin hai KHarabi koi ho jae jigar mein

han aap ko yarqan bhi ho sakta hai is se

paD sakti hai kuchh jild-KHarashi ki zarurat

KHarish ka kuchh imkan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hain yaaden bhi zara si mutaassir

mamuli sa nisyan bhi ho sakta hai is se

binai ke haq mein bhi ye goli nahin achchhi

dida koi hairan bhi ho sakta hai is se

ho sakta hai lahaq koi pechida maraz bhi

gurda koi viran bhi ho sakta hai is se

mumkin hai ki ho jae nasha is se zara sa

phir aap ka chaalan bhi ho sakta hai is se

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now