Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shair ki biwi

Khalid Irfan

shair ki biwi

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    bahut mazlūm hai is shahr meñ shā.ir ghar vaalī

    mohabbat ġhizā se ab tak us peT hai ḳhālī

    ye gorī raat tanhā.iyoñ meñ ho ga.ī kaalī

    karachi meñ jo rahtī hai ye aisī hai miyāñ-vālī

    'nadīm' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taaj hai is

    adab ḳhaak par baiThā huā sartāj hai is

    ye us shā.ir biivī hai jo shā.ir ḳhāndānī hai

    ġhazal jis zamīn-e-tañg meñ bhī āsmānī hai

    is international shā.ir meñ dariyā ravānī hai

    dubai jeddah abu-dhabi tak is ne ḳhaak chhānī hai

    ġhazal paḌhne se bilkul actor ma.alūm hotā hai

    baḌhī haiñ is qadar zulfeñ 'jigar' ma.alūm hotā hai

    guzartī hai hamesha ghar se bāhar zindagī is

    bahut mahdūd ho kar rah ga.ī hai family us

    sadā kaTtī hai bazm-e-shā.irī meñ raat bhī us

    sahar ke chhe baje hotī hai aksar vāpsī us

    magar shā.ir biivī phir bhī us nām-levā hai

    jo din meñ to suhāgan hai magar rātoñ ko beva hai

    guzartī hai baḌī mushkil se bechārī raat āḳhir

    kalām-e-'josh' paḌh ke ġham se paatī hai najāt āḳhir

    rahegī ghar meñ tanhā kab talak aurat zaat āḳhir

    na ho shauhar to paḌh letī hai ''yādoñ-kī-barāt'' āḳhir

    kalām-e-'josh' tanhā.ī meñ ye rozāna paḌhtī hai

    ki jo rizvān paḌhtā hai vahī rizvāna paḌhtī hai

    abhī guDDū huā hai aur abhī ummīd-e-sīmā hai

    jo qabl-az-vaqt aa pahuñche ye ik aisā zamīma hai

    banā de ghar ko tārīḳhī yahī shā.ir iimā hai

    agar shā.ir ghar dekho to āsār-e-qadīma hai

    numā.ish is tarah shā.ir ne bachchoñ lagā.ī hai

    ki jaise us ke majmūe rasm-e-rū-numā.ī hai

    kahā shā.ir ne biivī se ki tum merī qayāfa ho

    mire bachche mirā mazmūñ haiñ tum ḳhālī lifāfa ho

    hudūd-e-zindagī meñ ġhair-ma.amūlī izāfa ho

    mire dil hukūmat tumhīñ dār-ul-ḳhilāfa ho

    na jis se pyaas bujh paa.e vo ''K-M-C'' nal tum ho

    haqīqat ye hai merī ġhair-matbūa ġhazal tum ho

    bahut mazlum hai is shahr mein shair ki ghar wali

    mohabbat ki ghiza se ab tak us ka peT hai KHali

    ye gori raat ki tanhaiyon mein ho gai kali

    karachi mein jo rahti hai ye aisi hai miyan-wali

    'nadim' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taj hai is ka

    adab ki KHak par baiTha hua sartaj hai is ka

    ye us shair ki biwi hai jo shair KHandani hai

    ghazal jis ki zamin-e-tang mein bhi aasmani hai

    is international shair mein dariya ki rawani hai

    dubai jeddah abu-dhabi tak is ne KHak chhani hai

    ghazal paDhne se bilkul actor malum hota hai

    baDhi hain is qadar zulfen 'jigar' malum hota hai

    guzarti hai hamesha ghar se bahar zindagi is ki

    bahut mahdud ho kar rah gai hai family us ki

    sada kaTti hai bazm-e-shairi mein raat bhi us ki

    sahar ke chhe baje hoti hai aksar wapsi us ki

    magar shair ki biwi phir bhi us ki nam-lewa hai

    jo din mein to suhagan hai magar raaton ko bewa hai

    guzarti hai baDi mushkil se bechaari ki raat aaKHir

    kalam-e-'josh' paDh ke gham se pati hai najat aaKHir

    rahegi ghar mein tanha kab talak aurat ki zat aaKHir

    na ho shauhar to paDh leti hai yaadon-ki-baraat aaKHir

    kalam-e-'josh' tanhai mein ye rozana paDhti hai

    ki jo rizwan paDhta hai wahi rizwana paDhti hai

    abhi guDDu hua hai aur abhi ummid-e-sima hai

    jo qabl-az-waqt aa pahunche ye ek aisa zamima hai

    bana de ghar ko tariKHi yahi shair ka ima hai

    agar shair ka ghar dekho to aasar-e-qadima hai

    numaish is tarah shair ne bachchon ki lagai hai

    ki jaise us ke majmue ki rasm-e-ru-numai hai

    kaha shair ne biwi se ki tum meri qayafa ho

    mere bachche mera mazmun hain tum KHali lifafa ho

    hudud-e-zindagi mein ghair-mamuli izafa ho

    mere dil ki hukumat ka tumhin dar-ul-KHilafa ho

    na jis se pyas bujh pae wo K-M-C ka nal tum ho

    haqiqat ye hai meri ghair-matbua ghazal tum ho

    Source :
    • Book : No Problem (Pg. 85)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now