Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parodi

Ahmad Alvi

parodi

Ahmad Alvi

ye khaTmal ye makkhī ye machchhar duniyā

ye lañgūr bhālū ye bandar duniyā

ye kuttoñ gadhoñ aur ḳhachchar duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ye aurat ye mardoñ ye chhakkoñ duniyā

nihāttoñ hathiyār-bandoñ duniyā

ye Daaku police aur ġhunDoñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ye choroñ ye luchchoñ lafañgoñ duniyā

ye kamzoroñ aur dabañgoñ duniyā

tap-e-diq ke bīmār chañgoñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ye bush-junior aur obāmoñ duniyā

ye amrikiyoñ ke ġhulāmoñ duniyā

ye mullā-umr aur usāmoñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

janāboñ izzat-ma.āboñ duniyā

ye achchhoñ duniyā ḳharāboñ duniyā

ye chamchoñ ko milte ḳhitāboñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ye bandūq kaToñ tamanchoñ duniyā

ye fōtball aur kanchoñ duniyā

ḳhushāmad meñ mashġhūl chamchoñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

havā.ī jahāzoñ railoñ duniyā

havālāt aur jailoñ duniyā

ye trakoñ duniyā ye Theloñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ra.īsoñ duniyā meñ kaḌkoñ duniyā

ye be-kār āvāra laḌkoñ duniyā

traffic se bad-hāl saḌkoñ duniyā

ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

ye khaTmal ye makkhi ye machchhar ki duniya

ye langur bhaalu ye bandar ki duniya

ye kutton gadhon aur KHachchar ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

ye aurat ye mardon ye chhakkon ki duniya

nihatton ki hathiyar-bandon ki duniya

ye Daku police aur ghunDon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

ye choron ye luchchon lafangon ki duniya

ye kamzoron ki aur dabangon ki duniya

tap-e-diq ke bimar changon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

ye bush-junior aur obaamon ki duniya

ye amrikiyon ke ghulamon ki duniya

ye mulla-umr aur usamon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

janabon ki izzat-maabon ki duniya

ye achchhon ki duniya KHarabon ki duniya

ye chamchon ko milte KHitabon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

ye banduq kaTon tamanchon ki duniya

ye football ki aur kanchon ki duniya

KHushamad mein mashghul chamchon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

hawai jahazon ki railon ki duniya

hawalat ki aur jailon ki duniya

ye trakon ki duniya ye Thelon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

raison ki duniya mein kaDkon ki duniya

ye be-kar aawara laDkon ki duniya

traffic se bad-haal saDkon ki duniya

ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now