Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya hathi

Raza Naqvi Vahi

naya hathi

Raza Naqvi Vahi

shādiyāñ hotī thiiñ jab pahle kisī dehāt meñ

chand hāthī bhī mañgā.e jaate the bārāt meñ

taaki kuchh sārātiyoñ par ro.ab samdhī paḌe

aur us ke naam atrāf meñ jhanDā gaḌe

hāthiyoñ ko dekh kar atrāf meñ hotī thī dhuum

gher letā thā unheñ ahl-e-tamāshā hujūm

un ḳhūrish par magar hotī thī ḳharch itnī raqam

sāhab-ḳhāna bichāre nikal jaatā thā dam

gāḌiyoñ bargad ke patte ek man puḳhta anaaj

ek hāthī ko milā kartā thā rozāna ḳhirāj

jab adam-ābād jānib zamīñ-dārī ga.ī

rafta rafta hāthiyoñ garm-bāzārī ga.ī

aur ab un ke evaz har gaañv har dehāt meñ

nā-ḳhudāyān-e-siysāsat jaate haiñ bārāt meñ

āj-kal shobhā baḌhāne ke liye bārāt

har lagan meñ maañg hotī hai inhīñ hazrāt

un aamad se bhī mach jaatī hai chāroñ samt dhuum

gher letā hai unheñ bhī gaañv vāloñ hujūm

mezbāñ ke ghar raunaq shān-o-shaukat ro.ab-dāb

daf.atan baḌhte haiñ be-pāyāñ o be-hadd-o-hisāb

ek hāthī par jo pahle ḳharch hotī thī raqam

ek netā par vahī hotī hai sarf ab besh-o-kam

farq sirf ye hai ki vo khātā thā gallā ye pulāv

us hissa ek man thā in hissa tiin paav

us ke aage Tokrā thā in ke aage ḳhās-dān

vo chabā jaatā thā patte ye chabā jaate the paan

pāñch meñ miltā thā pahle ek man galle Dher

saiñkaḌoñ ab chapat hai murġh-o-māhī-o-baTer

māñgte haiñ da.avat-e-shādī meñ sab har baar murġh

ab hisāb is lagā lo ek netā chaar murġh

is tarāzū meñ barābar haiñ vo netā huuñ ki fiil

khāte haiñ jantā hissa bhī ye jantā ke vakīl

ḳhvāh netā ho ki hāthī naam bārātī hai

al-ġharaz dīvāliya har hālat meñ sārātī hai

shadiyan hoti thin jab pahle kisi dehat mein

chand hathi bhi mangae jate the baraat mein

taki kuchh saraatiyon par roab samdhi ka paDe

aur us ke nam ka atraf mein jhanDa gaDe

hathiyon ko dekh kar atraf mein hoti thi dhum

gher leta tha unhen ahl-e-tamasha ka hujum

un ki KHurish par magar hoti thi KHarch itni raqam

sahab-KHana bichaare ka nikal jata tha dam

gaDiyon bargad ke patte ek man puKHta anaj

ek hathi ko mila karta tha rozana KHiraj

jab adam-abaad ki jaanib zamin-dari gai

rafta rafta hathiyon ki garm-bazari gai

aur ab un ke ewaz har ganw har dehat mein

na-KHudayan-e-siysasat jate hain baraat mein

aaj-kal shobha baDhane ke liye baraat ki

har lagan mein mang hoti hai inhin hazraat ki

un ki aamad se bhi mach jati hai chaaron samt dhum

gher leta hai unhen bhi ganw walon ka hujum

mezban ke ghar ki raunaq shan-o-shaukat roab-dab

dafatan baDhte hain be-payan o be-hadd-o-hisab

ek hathi par jo pahle KHarch hoti thi raqam

ek neta par wahi hoti hai sarf ab besh-o-kam

farq sirf ye hai ki wo khata tha galla ye pulaw

us ka hissa ek man tha in ka hissa tin paw

us ke aage Tokra tha in ke aage KHas-dan

wo chaba jata tha patte ye chaba jate the pan

panch mein milta tha pahle ek man galle ka Dher

sainkaDon ki ab chapat hai murgh-o-mahi-o-baTer

mangte hain dawat-e-shadi mein sab har bar murgh

ab hisab is ka laga lo ek neta chaar murgh

is taraazu mein barabar hain wo neta hun ki fil

khate hain janta ka hissa bhi ye janta ke wakil

KHwah neta ho ki hathi nam baraati ka hai

al-gharaz diwaliya har haalat mein saraati ka hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now