Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan sultana paDhti thi

Sarfaraz Shahid

jahan sultana paDhti thi

Sarfaraz Shahid

Interesting Fact

(aKHtar shiiraanii kii ruuh se ma.azirat ke saath)

vo is college shahzādī thī aur shāhāna paḌhtī thī

vo be-bākāna aatī thī vo be-bākāna paḌhtī thī

baḌe mushkil sabaq the jin ko vo rozāna paḌhtī thī

vo laḌkī thī magar mazmūn sab mardāna paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

clāssoñ meñ hamesha der se vo aayā kartī thī

kitāboñ ke tale filmī risāle laayā kartī thī

vo jab daurān-e-lecture bor ho jaayā kartī thī

to chupke se koī tāza-tarīn afsāna paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

kitābeñ dekh kar kuḌhtī thī mahv-e-yās hotī thī

ba-qaul us ke kitāboñ meñ nirī bakvās hotī thī

ta.ajjub hai ki vo har saal kaise paas hotī thī

jo ''illam'' ilm ko maulānā ko ''malvāna'' paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

baḌī mash.hūr thī college meñ charchā aam thā us

javānoñ ke diloñ se khelnā bas kaam thā us

yahāñ college meñ paḌhnā to barā.e-nām thā us

ki vo āzād laḌkī thī vo āzādāna paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

ajab andāz ke ushshāq the us hiir ke maame

khaḌe rahte the phāTak par ka.ī mājhe ka.ī gaame

jo us ke naam par karte the jhagḌe aur hañgāme

vo us tūfān meñ rahtī thī tūfānāna paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

vo sultāna magar pahlī sultāna nahīñ yaaro

sunā hai koī bhī ab us dīvāna nahīñ yaaro

koī is sham.a-e-ḳhākistar parvāna nahīñ yaaro

ḳhud afsāna banī baiThī hai jo afsāna paḌhtī thī

yahī college hai vo hamdam jahāñ sultāna paḌhtī thī

wo is college ki shahzadi thi aur shahana paDhti thi

wo be-bakana aati thi wo be-bakana paDhti thi

baDe mushkil sabaq the jin ko wo rozana paDhti thi

wo laDki thi magar mazmun sab mardana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

classon mein hamesha der se wo aaya karti thi

kitabon ke tale filmi risale laya karti thi

wo jab dauran-e-lecture bor si ho jaya karti thi

to chupke se koi taza-tarin afsana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

kitaben dekh kar kuDhti thi mahw-e-yas hoti thi

ba-qaul us ke kitabon mein niri bakwas hoti thi

tajjub hai ki wo har sal kaise pas hoti thi

jo illam ilm ko maulana ko malwana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

baDi mashhur thi college mein charcha aam tha us ka

jawanon ke dilon se khelna bas kaam tha us ka

yahan college mein paDhna to barae-nam tha us ka

ki wo aazad laDki thi wo aazadana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

ajab andaz ke ushshaq the us hir ke mame

khaDe rahte the phaTak par kai majhe kai game

jo us ke nam par karte the jhagDe aur hangame

wo us tufan mein rahti thi tufanana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

wo sultana magar pahli si sultana nahin yaro

suna hai koi bhi ab us ka diwana nahin yaro

koi is shama-e-KHakistar ka parwana nahin yaro

KHud afsana bani baiThi hai jo afsana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

Source :
  • Book :   Dish antenna (Pg. 173)
  • Author : Sarfaraaz Shahid
  • Publication : Dost Publications Islamabaad (2010)
  • Edition : 2010

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now