Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ab mel se be-mel hua jata hai

Machis Lakhnavi

ishq ab mel se be-mel hua jata hai

Machis Lakhnavi

ishq ab mel se be-mel huā jaatā hai

merā ġham un ke liye khel huā jaatā hai

mashġhala ashk-fishānī thā pahle bhī magar

ab to ye shaġhl dhakā-pel huā jaatā hai

husn aur ishq jhagḌā bhī koī jhagḌā hai

vo laḌā.ī huī ye mel huā jaatā hai

husn yuuñ ḳhush hai ki hai tīsre bachche nuzūl

ishq yuuñ ḳhush hai ki pachmel huā jaatā hai

gundh ke phūloñ meñ tire sarv se qad par gesū

ḳhushnumā phūlī-phalī bel huā jaatā hai

hukm begam ke chalā karte haiñ jelar tarah

ab mirā ghar bhī mujhe jail huā jaatā hai

is qadar sarf ilāhī mire ḳhūn-e-dil

ab mohabbat bajaT fail huā jaatā hai

kahīñ bujh saktā hai 'māchis' ye mohabbat charāġh

jism ḳhuun jab tel huā jaatā hai

ishq ab mel se be-mel hua jata hai

mera gham un ke liye khel hua jata hai

mashghala ashk-fishani ka tha pahle bhi magar

ab to ye shaghl dhaka-pel hua jata hai

husn aur ishq ka jhagDa bhi koi jhagDa hai

wo laDai hui ye mel hua jata hai

husn yun KHush hai ki hai tisre bachche ka nuzul

ishq yun KHush hai ki pachmel hua jata hai

gundh ke phulon mein tere sarw se qad par gesu

KHushnuma phuli-phali bel hua jata hai

hukm begam ke chala karte hain jelar ki tarah

ab mera ghar bhi mujhe jail hua jata hai

is qadar sarf ilahi mere KHun-e-dil ka

ab mohabbat ka bajaT fail hua jata hai

kahin bujh sakta hai 'machis' ye mohabbat ka charagh

jism ka KHun hi jab tel hua jata hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now