Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar-damad ka pachhtawa

Hammad Hasan

ghar-damad ka pachhtawa

Hammad Hasan

ghar-dāmādī kar ke maiñ ne ḳhud ko liyā janjāl meñ Daal

maiñ samjhā thā aish karūñgā lekin jiinā huā muhāl

naukar huuñ dāmād nahīñ huuñ kartā huuñ ghar ke sab kaam

thakan se haal ḳharāb hai merā piilā ho gayā maañ laal

saas mujhe jab sab ke sāmne muā nikhaTTū kahtī hai

tab merā dil kahtā hai us ke gale meñ phandā Daal

jab bhī us ke sāmne jā.ūñ naak aur bhañveñ chaḌhātī hai

mujh se bas itnā kahtī hai aur kar daal ubaal

zarā bhī ġhalatī kar duuñ to mauqa use mil jaatā hai

maar ke chāñTā kar detī hai gaal mirā vo laal gulāl

us bātoñ se jaltā hai dil aur mujh se kahtā hai

is dafa use khānā de to is meñ thoḌā kuchlā Daal

Daal to duuñ maiñ kuchlā lekin police mujhe nahīñ chhoḌegī

judge bhī bas itnā kahegā pakḌā kyoñ gayā mere laal

ghar-damadi kar ke main ne KHud ko liya janjal mein Dal

main samjha tha aish karunga lekin jina hua muhaal

naukar hun damad nahin hun karta hun ghar ke sab kaam

thakan se haal KHarab hai mera pila ho gaya man ka lal

sas mujhe jab sab ke samne mua nikhaTTu kahti hai

tab mera dil kahta hai ja us ke gale mein phanda Dal

jab bhi us ke samne jaun nak aur bhanwen chaDhati hai

mujh se bas itna kahti hai ja aur ja kar dal ubaal

zara si bhi ghalati kar dun to mauqa use mil jata hai

mar ke chanTa kar deti hai gal mera wo lal gulal

us ki baaton se jalta hai dil aur mujh se kahta hai

is dafa use khana de to is mein thoDa kuchla Dal

Dal to dun main kuchla lekin police mujhe nahin chhoDegi

judge bhi bas itna hi kahega pakDa kyon gaya mere lal

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now