Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

filmi ishq

Zareef Jabalpuri

filmi ishq

Zareef Jabalpuri

mohabbat jis ko kahte haiñ baḌī mushkil se hotī hai

faqat ik baar hotī hai ḳhulūs-e-dil se hotī hai

jahān-e-film meñ, ulfat har naḳhrā nirālā hai

ye aisī daal hai jis daal meñ kaalā kaalā hai

agar bāzār meñ laḌkī phisal jaa.e mohabbat hai

sahārā ke laḌke sambhal jaa.e mohabbat hai

kisī laḌkī ko Daaku se chhuḌā kar laao ulfat ho

kisī cycle se cycle Takrāv ulfat ho

ye filmī ishq ne kaisā nayā pahlū nikālā hai

police-kaptān laḌkī āshiq rikshe vaalā hai

muqaddar ko kahīñ se sāz-gārī nahīñ miltī

vahī miltī hai aur koī savārī nahīñ miltī

amīrī par ġharībī vo yuuñ sikka jamātā hai

kirāya tak nahīñ letā magar chaDDī khulātā hai

sar-e-bāzār hero se jo accident ho jaa.e

to us ishq accident se disent ho jaa.e

ba-zāhir dekhne meñ sirf ik motor Takkar hai

kisī dil-pheñk se lekin kisī dilbar Takkar hai

vo heroine ko motor meñ shifā-ḳhāne bhī lā.egā

aur us ke dil ko bahlāne ko gaanā bhī sunā.egā

vo gaanā jis meñ hāl-e-dil puurī tarjumānī ho

magar ye shart hai bharpūr donoñ javānī ho

vo phir motor se Takkar shikāyat bhuul jā.egī

vo zaḳhm-e-dil ke aage har jarāhat bhuul jā.egī

janāb-e-seTh-sāhab jo ik be-māñ bachchī hai

nihāyat lāDlī hai umr puḳhta aql kachchī hai

aur us ko seTh ke daftar ke ik baabū se ulfat hai

manager aur baabū ke liye vaj.h-e-raqābat hai

natīje meñ vilen nāshād hero shaad hotā hai

taraqqī ke baabū seTh dāmād hotā hai

kabhī laḌkī pe jo tanhā safar sāneha guzre

to chaltī rail meñ bhī ishq ye hādsa guzre

ki hero rail ke sanDās se Dabbe meñ aa.egā

aur is ke baad heroine ko bas behosh pā.egā

vo us ke sar ko phir zaanū pe rakh kar gaal thapkegā

aur us aañkh se ik ishq aañsū bhī Tapkegā

to heroine bhī bas ghabrā ke āñkheñ khol Dālegī

ye us dil sambhālegā vo is dil sambhālegī

hoñ do bahneñ baḌī un meñ iklautā mangetar ho

mohabbat se bapā donoñ ke dil meñ ek mahshar ho

ki chhoTī ko bhī ulfat us se hogī barmalā hogī

vo apne hone vaale dūlhā-bhā.ī pe fidā hogī

firāq-e-yār meñ gaane ye andāz hotā hai

vo jangal ho ki bastī ho yaqīnan saaz hotā hai

ġhazal aadhī jo hero ne kisī jangal meñ gaa.ī hai

usī aadhī heroine ne bastī meñ sunā.ī hai

jo sāzinde, pyāno, vailen tabla bajāte haiñ

kabhī jangal meñ jaate haiñ kabhī bastī meñ aate haiñ

ye filmī ishq hai, le de ke bas is ye hāsil hai

hamārī qaum ke bachchoñ ke haq meñ zahr-e-qātil hai

'zarīf' anjām kyā hogā jo merā dil bhī kho jaa.e

kahīñ aisā na ho, mujh ko bhī filmī ishq ho jaa.e

mohabbat jis ko kahte hain baDi mushkil se hoti hai

faqat ek bar hoti hai KHulus-e-dil se hoti hai

jahan-e-film mein, ulfat ka har naKHra nirala hai

ye aisi dal hai jis dal mein kala hi kala hai

agar bazar mein laDki phisal jae mohabbat hai

sahaara pa ke laDke ka sambhal jae mohabbat hai

kisi laDki ko Daku se chhuDa kar lao ulfat ho

kisi ki cycle se cycle Takraw ulfat ho

ye filmi ishq ne kaisa naya pahlu nikala hai

police-kaptan ki laDki ka aashiq rikshe wala hai

muqaddar ko kahin se saz-gari hi nahin milti

wahi milti hai aur koi sawari hi nahin milti

amiri par gharibi ka wo yun sikka jamata hai

kiraya tak nahin leta magar chaDDi khulata hai

sar-e-bazar hero se jo accident ho jae

to us ka ishq accident se disent ho jae

ba-zahir dekhne mein sirf ek motor ki Takkar hai

kisi dil-phenk se lekin kisi dilbar ki Takkar hai

wo heroine ko motor mein shifa-KHane bhi laega

aur us ke dil ko bahlane ko gana bhi sunaega

wo gana jis mein haal-e-dil ki puri tarjumani ho

magar ye shart hai bharpur donon ki jawani ho

wo phir motor se Takkar ki shikayat bhul jaegi

wo zaKHm-e-dil ke aage har jarahat bhul jaegi

janab-e-seTh-sahab ki jo ek be-man ki bachchi hai

nihayat laDli hai umr puKHta aql kachchi hai

aur us ko seTh ke daftar ke ek babu se ulfat hai

manager aur babu ke liye wajh-e-raqabat hai

natije mein wilen nashad hero shad hota hai

taraqqi pa ke babu seTh ka damad hota hai

kabhi laDki pe jo tanha safar ka saneha guzre

to chalti rail mein bhi ishq ka ye hadsa guzre

ki hero rail ke sanDas se Dabbe mein aaega

aur is ke baad heroine ko bas behosh paega

wo us ke sar ko phir zanu pe rakh kar gal thapkega

aur us ki aankh se ek ishq ka aansu bhi Tapkega

to heroine bhi bas ghabra ke aankhen khol Dalegi

ye us ka dil sambhaalega wo is ka dil sambhaalegi

hon do bahnen baDi ka un mein iklauta mangetar ho

mohabbat se bapa donon ke dil mein ek mahshar ho

ki chhoTi ko bhi ulfat us se hogi barmala hogi

wo apne hone wale dulha-bhai pe fida hogi

firaq-e-yar mein gane ka ye andaz hota hai

wo jangal ho ki basti ho yaqinan saz hota hai

ghazal aadhi jo hero ne kisi jangal mein gai hai

usi ki aadhi heroine ne basti mein sunai hai

jo sazinde, pyano, wailen tabla bajate hain

kabhi jangal mein jate hain kabhi basti mein aate hain

ye filmi ishq hai, le de ke bas is ka ye hasil hai

hamari qaum ke bachchon ke haq mein zahr-e-qatil hai

'zarif' anjam kya hoga jo mera dil bhi kho jae

kahin aisa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jae

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now