Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

cricket match

Saghar Khayyami

cricket match

Saghar Khayyami

bezār ho ga.e the jo shā.er hayāt se

cricket match khel liyā shā.erāt se

vāqif na the jo dosto! aurat zaat se

chauke lagā rahe the ḳhayāloñ meñ raat se

aa.ī jo sub.h shaam ke naqshe bigaḌ ga.e

sarroñ se ham ġharīboñ ke stump ukhaḌ ga.e

nāz-o-adā o husn ne jaadū jagā diye

pahle to opner ke chhake chhuḌā diye

one-down pe jo aa.e to stump uḌā diye

rāh-e-farār ke bhī to raste bhulā diye

go catch very-low thā magar be-dhaḌak liyā

ik mohtaram ko ik ne galī meñ lapak liyā

kyā kyā bayān kījiye ik ik bāñkpan

jalva-figan zamīñ pe thī tāroñ anjuman

husn-o-shabāb o ishq se bharpūr har badan

shā.er pavilion meñ the pahne hue kafan

jitnī thiiñ beautiful vo slip par galī pe thiiñ

jitnī thiiñ over-age sabhī baundary pe thiiñ

pariyoñ ke jis tarah se pare koh-qāf par

ik long-on par thī to ik long-off par

ik thī cover meñ ek hasīna mid-off par

jo short-pīch thī geñd vo aatī thī naaf par

Thahre na vo crease pe jo the baḌe baḌe

mujh jaise tīm-tām to wicketoñ pe phaT paḌe

vo laal geñd phuul ho jaise gulāb

jis tarah dast-e-nāz meñ sāġhar sharāb

saaya havā meñ nāchtā thā āftāb

bumper meñ saarā zor thā husn-o-shabāb

aise bhī apne ishq maidāñ banāte the

empire har apeal par uñglī uThāte the

jab ball pheñktī thī vo gesū sañvār ke

nazdīk aur hote the hālāt haar ke

kahte the match dekhne vaale pukār ke

ustād rahe haiñ shab-e-ġham guzār ke

ustād kah rahe the ki phaTkār match par

do do jhapaT rahī haiñ sharīfoñ ke catch par

bezar ho gae the jo shaer hayat se

cricket ka match khel liya shaeraat se

waqif na the jo dosto! aurat ki zat se

chauke laga rahe the KHayalon mein raat se

aai jo subh sham ke naqshe bigaD gae

sarron se hum gharibon ke stump ukhaD gae

naz-o-ada o husn ne jadu jaga diye

pahle to opner ke hi chhake chhuDa diye

one-down pe jo aae to stump uDa diye

rah-e-farar ke bhi to raste bhula diye

go catch wery-low tha magar be-dhaDak liya

ek mohtaram ko ek ne gali mein lapak liya

kya kya bayan kijiye ek ek ka bankpan

jalwa-figan zamin pe thi taron ki anjuman

husn-o-shabab o ishq se bharpur har badan

shaer pawilion mein the pahne hue kafan

jitni thin beautiful wo slip par gali pe thin

jitni thin ower-age sabhi baundary pe thin

pariyon ke jis tarah se pare koh-qaf par

ek long-on par thi to ek long-off par

ek thi cower mein ek hasina mid-off par

jo short-pich thi gend wo aati thi naf par

Thahre na wo crease pe jo the baDe baDe

mujh jaise tim-tam to wicketon pe phaT paDe

wo lal gend phul ho jaise gulab ka

jis tarah dast-e-naz mein saghar sharab ka

saya hawa mein nachta tha aaftab ka

bumper mein sara zor tha husn-o-shabab ka

aise bhi apne ishq ka maidan banate the

empire har apeal par ungli uThate the

jab ball phenkti thi wo gesu sanwar ke

nazdik aur hote the haalat haar ke

kahte the match dekhne wale pukar ke

ustad ja rahe hain shab-e-gham guzar ke

ustad kah rahe the ki phaTkar match par

do do jhapaT rahi hain sharifon ke catch par

Source :
  • Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 233)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now