Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

cricket aur mushaira

Dilawar Figar

cricket aur mushaira

Dilawar Figar

mushā.ire bhī tafrīh aim hotā hai

mushā.ire meñ bhī cricket game hotā hai

vahāñ jo log khilāḌī haiñ vo yahāñ shā.er

yahāñ jo sadr-nashīñ hai vahāñ hai empire

vahāñ pe shart ki ho zor-e-bāzu-e-mahmūd

yahāñ ye qaid ki ho lahn-e-hazrat-e-dāōd

vahāñ tamaddun-e-mashriq maut ġham hai

yahāñ adab ke janāza pe shor-e-mātam hai

vahāñ riyāz-e-musalsal se kaam chaltā hai

yahāñ gale ke sahāre kalām chaltā hai

vahāñ bhī khel meñ no-ball ho to faul hai

yahāñ bhī sher meñ ihmāl ho to faul hai

vahāñ hai L.B.W yahāñ ye chakkar hai

ki andalīb muannas hai muzakkar hai

vahāñ bhī sirf muqaddar khel hotā hai

jo unlucky hai yahāñ bhī vo fail hotā hai

vahāñ hai ek kaptān puurī team jaan

yahāñ har ek player bajā.e ḳhud kaptān

yahāñ kuchh aise bhī kaptān paa.e jaate haiñ

jo ran banāte nahīñ hiT lagā.e jaate haiñ

vahāñ jo log anāḌī haiñ vaqt kāTte haiñ

yahāñ bhī kuchh mutashā.er dimāġh chāTte haiñ

huā kare agar score us zero hai

yahāñ jo shaḳhs phisaDDī hai vo bhī hero hai

nigāh jin pahuñchtī hai hashv o iitā par

banā diyā hai yahāñ un ko back stoper

adab-navāz pe shout yahāñ bhī hote haiñ

ye bad-nasīb ran-out yahāñ bhī hote haiñ

'hanīf' bhī koī bogus cricketer to nahīñ

magar 'asar' se ziyāda frē-hiter to nahīñ

bajā hai 'fazl' ke sixer pe marhabā kahnā

magar 'firāq' baundary kyā kahnā

mire ḳhayāl ko ahl-e-nazar kareñge catch

mushā.ira bhī hai ik tarah cricket match

mushaire ka bhi tafrih aim hota hai

mushaire mein bhi cricket ka game hota hai

wahan jo log khilaDi hain wo yahan shaer

yahan jo sadr-nashin hai wahan hai empire

wahan pe shart ki ho zor-e-bazu-e-mahmud

yahan ye qaid ki ho lahn-e-hazrat-e-daood

wahan tamaddun-e-mashriq ki maut ka gham hai

yahan adab ke janaza pe shor-e-matam hai

wahan riyaz-e-musalsal se kaam chalta hai

yahan gale ke sahaare kalam chalta hai

wahan bhi khel mein no-ball ho to faul hai

yahan bhi sher mein ihmal ho to faul hai

wahan hai LBW yahan ye chakkar hai

ki andalib muannas hai ya muzakkar hai

wahan bhi sirf muqaddar ka khel hota hai

jo unlucky hai yahan bhi wo fail hota hai

wahan hai ek hi kaptan puri team ki jaan

yahan har ek player bajae KHud kaptan

yahan kuchh aise bhi kaptan pae jate hain

jo ran banate nahin hiT lagae jate hain

wahan jo log anaDi hain waqt kaTte hain

yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chaTte hain

hua kare agar score us ka zero hai

yahan jo shaKHs phisaDDi hai wo bhi hero hai

nigah jin ki pahunchti hai hashw o ita par

bana diya hai yahan un ko back stoper

adab-nawaz pe shout yahan bhi hote hain

ye bad-nasib ran-out yahan bhi hote hain

'hanif' bhi koi bogus cricketer to nahin

magar 'asar' se ziyaada free-hiter to nahin

baja hai 'fazl' ke sixer pe marhaba kahna

magar 'firaq' ki baundary ka kya kahna

mere KHayal ko ahl-e-nazar karenge catch

mushaira bhi hai ek tarah ka cricket match

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Dilavar Figar (Pg. 75)
  • Author : Dilavar Figar
  • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2003)
  • Edition : 2003

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now